Navras   (Navras)
161 Followers · 274 Following

read more
Joined 24 July 2020


read more
Joined 24 July 2020
15 APR AT 17:02

Yeh zhuriya, yeh chehre per safednakabposh, yeh umrah ka takaja, yeh har din ki nayi chunotiya, badhti khwaisho k amber, jeene nhi dete zindagi, badhte kadam 40 ki aur, k sath badhti jimmedariya, yaad aata he gujra waqt aaj se behtar tha ya nhi per yaad karne layak he, dosto se bhari mehfil aur vo college k din Jaha manchale aashik baaj nhi aate, per kuch b ho vo b ek nasha tha, junun tha, utsah tha phir kisi naye majnu k milne ka, abb chehre per aayi silvateh , makeup se chupalo ,sacchai nhi chup sakti, har din jindagi ka kum ho rha he , loss hi loss nazar aa rha he ,zindagi k ganit meh fail ho gaye, zindagi bhar exam dete dete thak gaye, abb bus jeewan safal ho jaye jab antim samay meh jubaan per uska naam aa jaye, kalyaan ka sadhan mil jaye, zindagi vrindawan meh antim saas nikaale bus itna sa khwab he

-


15 APR AT 16:46

Niyam k pakkeh aur jiddi log bhut pasand he basharteh vo niyam aur Jidd prabhu ko issi janam meh pane ki ho, kash koi toh uss tak le jaye, koi toh uski ek zhalak dikha de, nenan meh uski roop madhuri bus jaye, mera sawara salona khud chalkar aaye, sakshat prakat ho jaye

-


15 APR AT 16:42

Jo gurudev ko sun le roj ek ghanta ekantik toh nischit hriday parivartan aur charitrah nirmaan ho jayegah ,84 k chakkar se mukt ho jayegah, manushyajanam lena sarthak ho jayegah, nikunj meh uska pravesh ho jayegah, yahi adhyatmik yatra he ,swayam ko jannna hi iss jeewan ka lakshya he .jeewan meh kisi ko guru banane se jyada uski baat manna hi bhagwatprapti ki aur le jayegah

-


15 APR AT 16:37

Hum toh kisi ko dene k kuch kabil nhi, lekin koi radhe radhe prem se bol de toh vo shriji k ho jate he, shayad kisi se radhe radhe bulwane meh agar safal hui toh mera hi nhi sabhi ka manushya janam sarthak ho jayegah.

-


11 APR AT 14:40

Charitrah asa nirmaan karo ki , aapka vyaktitva samman k layak ho na ki aayashi k , kbhi kbhi humara kisi k has k bolna , humi per bhari pad jata he, aur uss ek shabd se koi hume upbhog ki vastu samazh le , toh kami humari hi hui ,ki humne usse ungli pakadne ka moka diya aur vo hath ki kalai tak pahuch gaya, aphsos kisi se has k 2 baat kya kar lo log aapko flirting ka samman samazh lete he . Bharat k navyuvak charitra nirmaan ki bajay charitrah hanan meh lageh he, abb samazh aaya jsk k alava kisi b purush se muh lagna hi nhi chahiye , vo humare 2 mridul shabdoh k layak nhi hote he, galti meri thi ,abb sudharna b muzhi ko he, uparwala dekh rha he, usse darna he

-


11 APR AT 10:14

To naval , hpy bdy in advance
Mere kisi b karya se aapk chehre per muskurahat aati he toh vo smile meri hui ,aapk chehre per mridul hasi dekhna hi meri khushi he, aapka jeewan aanand se purn ho ,iske liye meh humesha prayasrat rahungi, aapki prasannatah hi mere jeewan ka award aur lakshya he.duniya muzhe kuch b samzhe ,jo b mane aapki nazro meh shresth honna hi jeewan ki purntah he.

-


10 APR AT 11:46

Plz do visit my page on Instagram
rashminavrasofficial
Pl like share my reels
Need ur support to grow

-


10 APR AT 10:57

Vo jsk likhte he per hum toh radhe k ho chuke he ,chahe jo ho , vajah hum hi ho, per Bhagwaan ka naam toh le rhe he

-


10 APR AT 10:47

Duniya ka kya he kabhi hume accha bolegi kabhi kharab , kis kis ko hum apni acchai ka sabut dengeh, jiski jitni soch vo hume ussi pemane se anklan karegah, hume apne kartavya ki aur dhyan dena he, humareh antarmann meh hum sahi he ya nhi, uparwale ki nazar meh sahi he ya nhi, vo kya sochegah yeh hume sochna he

-


6 APR AT 10:12

Humara samaj ek aur pragatisheel ,unnati ki aur ja rha he , betiya padh likh kar naam roshan kar rhi he, aur ek taraf humari soch choti bindi badi bindi meh hi atki hui he. Hum kitne hi aageh badh jaye , per beti aur bahu ka fark ka koi aur chor nhi

-


Fetching Navras Quotes