Yaadon k un kache dhago se kuch buna tha mene, Paraya kahu ya anjan, Par unhe chuna tha mene. Dil k sandhuk me rakh diya tha jo kalam kahi sambhal kar, Vo nikal laya hu .. Pure karu vo saare khwab jo dekhe they mene.
Krodh lobh ka man mai deep jalaye Sufi tera man kaise ho paye Chod moh maya ka ab tu phera Charano me unke ho jaye charo dham tera Ankhein band kar aur japte ja Om namah Shivay Om namah Shivay
Tute taare ko naa bata tere muraad Mat daba ab khud ke yu jasbat Chod in hatheliyon ka ab sath Nasib khud likh banakar apni baazuo ko folaad Vo taare bhi tere honge Vo assma bhi tera hoga Ek kadam, ek chalang ki hai bas baat.
Tu un ankho ka kajal bana deta toh accha tha Tu un payal k moti bana deta toh accha tha Tu un otho ki lali bana deta toh accha tha Are is duniya se ab koi sikhwa nhi Tu unke mohabbat me pagal bana deta toh accha tha
Jismani is mitti ka hai Ek din isme hi mil jana hai Aehimiyat toh usse pata hai Jo is mitti ko apni maa mana hai Lahu ka karz hai un veero ka Hume milkar ab chukana hai Desh ki shaan tirange ko Jahan me ucha lehrana hai