"It's not the years that make us mature, but the scars life leaves behind."
-
Har lehar pe naam likha tha kisi apne ka,
Par har baar dard hi saath mila, sapne ka.
Aasman bhi ro pada, jab zameen ne chhod diya,
Dil ne to har mod pe kisi apne ko dhoond liya.
Na kinara dikhta hai, na sahara milta hai,
Bas dil hai jo har toofan mein chhup ke silta hai.
Koi roshni ho, koi dua ho iss andheron ke paar,
Kisi ke honthon se nikle woh ek tasalli bhara ikraar.
Koi tham le haath... iss dubti kashti mein se,
Bas ek pal ka sahara bhi, jeene ka sabab ban jaata hai.-
Aankhon mein likha hai jo,
woh lafzon se kahaan keh paaye,
Dil ki kitaab khuli hai,
bas koi padne wala chahiye.
Har pal mein chhupi ek khamoshi hai,
jo sirf mehsoos hoti hai,
Zubaan chup reh jaati hai,
jab rooh rooh se baat hoti hai.
Chehre ki muskaan pe na jaa,
andar to tufaan rehta hai,
Jo aankhon ko padh le be-lafz,
bas wahi asli insaan rehta hai.
Na dard chillaata hai,
na khushi chillati hai,
Bas aankhen hain jo
har raaz chupchaap sunaati hai...
-
Dil ke kone mein chup si ek awaaz hai,
Har khushi ke baad jo reh jaaye woh raaz hai.
Zindagi ke har mod pe ek kami mehsoos hoti hai,
Woh maa ki god, jo har dard mein roshni si hoti hai.
Subah ki chai bhi pheeki lagti hai,
Jab maa ki pyari si daant nahi milti hai.
Kapdon mein silvatein maa jaisi sulajhti nahi,
Ghar ka har kona ab tanha sa lagta hai,
Uski muskaan, har deewar pe sajta hai.
Jo pyaar uske aansuon mein chhupa hota tha,
Woh khamoshi se har dua mein basa hota tha.
Ayeshas hoti hain—yaani yaadein, ehsaas, sukoon,
Maa ki kami mein bikhra har ek sukoon.
Har Ayesha ek pal hai jo maa ke naam likha,
Jo na kabhi pura hua, na kabhi bhula.
Maa ke bina zindagi adhuri si lagti hai,
Jise har roz jeete hain, par har roz thakti hai.
Uski god mein jo jannat thi, ab sirf ek yaad hai,
Maa ki kami... har Ayesha mein zinda yaad hai.
-
Rangon se sajti rahe har subah,
Khushiyon ki lehar ho har disha.
Gulal ki khushboo, pichkari ki baat,
Har pal me ho bas hasi ki baat.
Dosti ka rang kabhi pheeka na ho,
Mohabbat ka geet kabhi thehra na ho.
Dil se aapko Holi ki badhaiyaan,
Zindagi me aaye nayi roshniyaan
Happy Holi! ✨
-
Zindagi ke har mod pe, ek roshni chamakti hai,
Andhere raaston mein bhi, umeed ki kiran jagti hai.
Choti si khushboo, ek muskaan ki baat,
Har lamha ek tohfa, jo dil ko raahat de baat-baat.
Subah ki pehli kiran, ya shaam ka sukoon,
Har pal ek yaad, jo dil ko kare mehfooz.
Panchi ki chahchahat, ya baarish ki boond,
Har nazara ek geet, jo rooh ko de junoon.
Shukriya un lamhon ka, jo aas paas khilte hain,
Shukriya un rishtey ka, jo bina shabdon ke milte hain.
Zakhmon ne sikhaya, kaise uthte hain phir se,
Har dard ke peechhe, chhupa ek naya sapna hai fir se.
Aasmaan ka shukriya, jo sapne udaata hai,
Zameen ka shukriya, jo kadmon ko thaamta hai.
Dil ka shukriya, jo mehsoos karna sikhata hai,
Aur zindagi ka shukriya, jo har din ek nayi kahani likhata hai.
Toh chalo, har din ko ek nazar se dekhein,
Shukriya karein, jo mila hai usey gale lagayen.
Kyunki har din ek vardaan hai, ek nayi roshni ki baat,
Let gratitude be an attitude, har dil mein rahe yeh baat.-
"One-sided bonds are silent battles, where the heart fights alone, hoping for echoes in empty spaces."
-