Ek wo zamana tha jab akhbaar chhapne ke baad bika karta tha, ek aaj ka zamana hai jab akhbaar bikta pehle hai aur chhapta baad me hai......
Naval Raza Zaidi-
Gar hakim ho chor to chori jurm nahi hunar kehlaya karti hai janab....
Naval Raza Zaidi-
Jo shisha insan ko uske husn se rubaru karae, wahi gar toot jae to uske chhune walo bhi zakhm de jae.......
Naval Raza Zaidi-
Jo barish ki bunde kabhi samundar me gir moti (pearl) aur zameen pe gir fasal ban jati hai wahi ager wahi toofan ki shakl ikhteyar krle to tabahi ki wajah bhi ban jati jai....
Naval Raza Zaidi-
Jis hawa ke jhoke aksar aag ko bujha dia krte hai wahi hawa aksar janglo ki aag ko bhadka bhi dia karti hai........
Naval Raza Zaidi-
Jiske sath jeene ka mahaz tasawwur hi takleef ka wais ban jae, uske sath bhala jeene ki khuwahish hi kyo rakhna....
Naval Raza Zaidi-
Insan apni khuwahisho ki ghulami me iss had tak kho chuka hai ke wo dunia ko mahaz fayde ki nazar se dekhne ko majhbur hai.....
Naval Raza Zaidi-
Insan khuahisho ka bhuka hai aur khuwahishe insan ki.....
Naval Raza Zaidi-
Man of 'Massacre' becomes the 'Mascot' for Indian politics
Naval Raza Zaidi-
Sadak kinare khade makaan ki qeemat hoti hai insan ki nahi......
Naval Raza Zaidi-