Yoon jo tumhari berukhi ka alam shuru hua hai,
Kya hamari koi khata hai ya mann bhar gaya hai tumhara.-
Aashiyana the tum mere zindagi ka..
Tumse bichre toh beghar ho gaye..
-
Pata nahi aisa kya ho gaya..
Ek pal tumhare sabse kareeb the aur palak jhapakte hi tum Anjaan ho gaye...-
Ab Tumhare kareeb aane se darr lagta hai,
Tumhe chune se darr lagta hain
Tumhe galein se lagane mei darr lagta hai..
Ab tum pe apna haq jatane pe darr lagta hai...-
Mai puchna chahti hoon tujhse ki aise achanak tu gayab kaha ho gaya..
Ki janmo tak saath rehne ke wadei kar tu akhir kaha kho gaya
Mai din raat roti, bhilakti rahi tere liye
Mai puchna chahti hoon ki mera Yeh hashr kar ke tujhe hasil kya ho gaya..???-
Woh waqt bhi kitna haseen tha,
Jb teri yaadein nahi tu saath hua karta tha...-
Darr lagta hai aankhein bandh karne mei,
Ki sehar hote hi, din bhar ke Bhaag daur mei kahi teri yaadein piche na chutt jaye..
-
Badi muddat ke Baad kalam haath mei uthaya..
Magar meri aakhon se jo teri yaadon ki boond giri mere alfazon par
Sab kuch mit gaya waise hi, jaise tere Jane ke Baad meri zindagi ka haal hai...
-
Times like these tests the humanity that we all hold..
How much can we care about others around us?
If any any shortage occurs, are we ready to share half our meals so that others do not starve to death?
Is our bond strong enough to last even without meeting and partying with our friends.?
Do we call and check on people regularly?
Are we sensible enough to care for our elderly by compromising with a few days?
Where do we stand when we say we can give our lives for our nation.?
Now is the time to act. To not give our lives, but instead save it and with it save others too..
-