Nandni Chandrani  
5 Followers · 5 Following

Joined 19 December 2022


Joined 19 December 2022
29 JUN AT 19:18

Intezaar ka har ek pal, ruhani maut bann meri chitaa jala raha hai,
Phir bhi uske waapas aane ka ek vishwas najaane kyon mujhe zinda rakhein jaa raha hai. ×2
Mein har shaam uske naam se dua ki ek roshni jala leti hoon, ×2
Aur uski yaadon mein chupke se apni tanhai sambhal leti hoon. ×2
Na wo khwab se gaya hai, na dil ke kone se, ×2
Wo bas waqt ke pardon ke peechhe, kahin nazar aa raha hai. ×2
Aur bas ye pyaar hi toh hai... jo uski khamoshi mei bhi mujhe mohabbat sunaa raha hai.

-


26 MAR AT 22:29

Aapki tasveer ko nigahon mein basaaye baithe hai, ×2
Aapki yaadon ko dil mein sajaaye baithe hai, ×2
Har dhadkan mein bas aapka hi tasavvur hai, ×2
Aapke bina bhi wafa ke diye jalaye baithe hai, ×2
Laut aaiyega kisi roz apni mohabbat ki roshni liye, ×2
Aapki raahon mein apne wajood ki umeed jalaye baithe hai.

-


25 MAR AT 14:58

Tujhko khone se pehle mei khudko khoo dungi...
Teri mohabbat ke khatir har dard ko
odh lungi, ×2
Agar tera sath muqaddar se chhin bhi jaaye...
Mei phir bhi apne toote hue hisson se tera naam jod lungi, ×2
Teri har khwahish ko apna khwaab bana lungi...
Inhe mukammal karna hi apna maksad
maan lungi, ×2
Tujh tak pohochne ke raaste chahe rooth bhi jaaye, ×2
Teri wafa mein hi saari umr guzar dungi.

-


24 MAR AT 21:21

Wo har dafa mere khayalon mein iss qadar utar jaate hai, ×2
Jaise mujhse khafa hokar bhi meri rooh mein samaa jaate hai, ×2
Phaanslein chahe jitne bhi ho
darmiyaan, ×2
Mere dil ki gehraiyon mein behisaab bas jaate hai, ×2
Mei unke bina adhuri hi sahi, ×2
Par wo mujhe apni mohabbat mein poora kar jaate hai.

-


24 MAR AT 16:27

Unke bina bhi mei unse hi judi rahungi, ×2
Unki yaadon ki baahon mein khamosh hi ghuli rahungi, ×2
Unka naam meri har saans mein basaa rahega, ×2
Ishq bankar mera dil unse juda rahega, ×2
Dooriyan chahe jitni bhi ho,
mitadungi kabhi, ×2
Unki salamati ki duaon mein raaz bankar chhupi rahungi abhi, ×2
Unke bina bhi mei unse hi judi rahungi, ×2
Mohabbat bankar unka intezaar karti rahungi.

-


23 MAR AT 10:59

Jaanti hoon, mere dard ko mehsoos kar tu bhi inn raaton mein roya hai, ×2
Phir najaane kyon tune khudko inn khamoshi ki zanjeeron mein piroya hai ? ×2
Kya inn duniya ke sawaalon se tune khudko khoya hai, ×2
Ya zimmedariyon ke chalte tune apne ishq ko aansuon se sanjhoya hai, ×2
Wo sapne jo hum sath baithkar
bunna karte the, ×2
Kya wo aaj bhi teri yaadon mein zinda hai ? ×2
Agar sacch the teri beintehaan mohabbat ke waade, ×2
Toh laut aa mere humraah, ye musafir aaj bhi teri raahon se jooda hai.

-


29 JAN AT 17:39

Ye qainaat mujh sang koi saajish rach rhi ya derhi mere ishq ko anjaam, ×2
Laakhon ki bheed mei tanhai satati dil pukarta sirf unka hi naam, ×2
Bebas mein iss qadr naa dekhpaun unhe naa baat karsakun.. ghoont ghoont kar kat rhi meri har ek sham, ×2
Intezaar mei ab saansein tham ti jaarhi par naa dikhte hai wo kabhi.. naa aata unka koi paigaam, ×2
Chahi thi ye zindagi unke sath bitana par ab yhan shor kar rha bas unki chuppi ka kohram.

-


28 JAN AT 16:16

Ek aapka hi naam liye darbadar ye aankhein aapko dhundh rhi hai, ×2
Ye zamana pagal kehke badnaam karde usse pehle aajana, ×2
Aajana yun.. ishq humara bhram nhi saabit kar, mujhe apni baahon mei
samaa jaana, ×2
Samaa jaana yun khud mei..
naa sunai de iss duniya ka shor bas rahun mehfuz aapme, aisa apna jivan bhar ka mere liye sath leke aana, ×2
Aana aise ugte suraj ke tej sa apna ishq ka aaina dikhla jaana.

-


11 JAN AT 17:25

Saanse meri taa-umr unka hi naam
leti rhi, ×2
Barson se unke intezaar mein tanhai ke zehrile ghoont piti rhi, ×2
Jaan ke bhi anjaan aankhein har waqt har jagah unhe hi ye dhundhti rhi, ×2
Jab naa mile wo umeed haar kar aanshuon ke sang raatein kaat ti rhi, ×2
Na jaane kab kaha miljaye wo.. unhi ke khayalon se ye dil ke zakhm silti gyi, ×2
Yun hi unse milne ki aas se, phir har khwaab mein unki tasveer saja kar jeeti rhi.

-


10 JAN AT 23:34

Wo mil ke bhi humse kucch yun door hogye, jaise duniya ke shor mein kisi apne se hi bichhadne ko majboor hogye... ×2
Kal hi toh hum taa-umr sath jeene ke sapne bunn rhe the, ×2
Aur aaj sheher kya alag hue.. jaise sapno ke sheher ke raaste bhi humse kroor hogye, ×2
Unhe door se khush mehsoos kar dil ke dard chhupa liye humne muskura kar, ×2
Aur unhe laga wo bekasoor hogye, ×2
Alfaazon se chahe kitne bhi dil ke dard ko bayan karde, ×2
Par haqiqat toh yhi hai unki khamoshi se harbaar humare jazbaat chur chur hogye.

-


Fetching Nandni Chandrani Quotes