Nandani Pujari  
33 Followers · 47 Following

Theatre artist, writer and assistant director in film industry.
Joined 29 March 2018


Theatre artist, writer and assistant director in film industry.
Joined 29 March 2018
29 SEP 2023 AT 13:00

Ehmiyat ghar ki un se puchon
Jo ghonsle ki talash mein
Milo tay karte hain

-


18 JUL 2023 AT 19:05

Khwaishon ke pinjre mein
Jimmedarion se mili
Udhaar ki sanson se
Phir se uddne ki arzoo mein
Khuli ankhon se soo rahe hain hum,
Sirf is intejaar mein ke
Kisi din Khwaishon ke
Pinjre ka darwaza shayad,
Shayad kabhi
Khayalon mein hi sahi
Ek baar khul jaye.

- Nandani Pujari

-


28 MAY 2023 AT 12:27

Kashish se kasak tak ki
Doori Bus itni hain
Jitni
Tere aane se
Tere jane tak ka safar

-


18 MAR 2023 AT 11:20

Rok ke bhi nahi ruke
Toh humne bhi piche
Dekhna chhod diya
Socha aise hi sahi
Jeena sikh lenge hum
Jante nahi the
Har raat ankhno se
Behte miloge tum

-


13 MAR 2023 AT 22:04

Kahaniyan aksar vo hi sunate hain
Jo darshak se
Sutradhar ban jaate hain

-


3 MAR 2023 AT 21:42

Tujhe teri har khawaishsho pe
Log akasar tokenge
ke
Teri tamanna tere halaton se badi hain
Tu apne mehnat ke pankh
Itne phela
Ke
Teri hakikat ek misaal
Or tu dunsron ke liye
Khauwab ban jaaye

-


2 MAR 2023 AT 19:59

Kayi shaame yun hi guzar gayi
Tere intzaar mein
Aye Zindagi
Doo pal ke liye hi sahi thoda toh dher
Baki hain aab bhi bahuat kuch
Kehne ko
Janti hoon baatein toh
Har roz bahuat ki
Har kisi ke baare mein
Kehna baki hain abhi
Mere bare mein

- Nandani Pujari

-


1 MAR 2023 AT 13:36

Laga kisi ne awaaz di
Mudd ke dekha to
Mera jism bistar se niche rakha tha
Aaspass kuch jane pehchaane
Chehre the
Kuch bilakh rahe the, Kuch sehmein the
Meri rooh ne nazar bhar
Sab kuch dekha
Phir naye safar ke aagaz pe chal padi

-


27 FEB 2023 AT 22:21

Kash yun laga zindagi ka
Ke
Har dard dhunwa ho jaye
Khayal aye
Kabhi kisi jakham ka
Toh tu usse
Kurednaa bhool jaye

-


3 FEB 2023 AT 19:39

Dhalti umar se jayada
Zimeendariyon ke bojh ne
Kandhe jhukaa diyen
Phir bhi
Nazare aaj bhi
Armaano ke sheher mein
Koshishon ki zameen mein
Khawaishshon ke ghar ka
Kiraya dene mein vayast hain

- Nandani Pujari




-


Fetching Nandani Pujari Quotes