Naman Tandon  
35 Followers · 8 Following

read more
Joined 17 March 2018


read more
Joined 17 March 2018
1 MAY AT 22:30

Jab haseen mujhe
kisi ki har shararat lagegi,
In dhadkanon ki sadaa
bhi us din ibaadat lagegi.
Aur cigarette, sharaab na hi
koi doosra aib hai mujhe,
Lagegi jab mujhe
bas tumhari aadat lagegi.

-


22 APR AT 21:59

She - Look at the night sky, it's magical!

I - Anything that takes one to another place is. The skies are, your eyes are...

-


22 APR AT 21:52

Jaaduee (जादुई) hai har wo cheez jiss se mann ek doosri duniya mein jhankhe hai,
Aasmaa.n hai, taaron bhari raaatein hai, par in sab se zyada, tumhari aankhein hai.

-


16 APR AT 0:37

Kalam to thama di hai
Tumne haath mein mere,

Par meri prerna kya hai,
Duniya ko batana kya hai?

Hijr ki hogi,
Ya hogi vasl ki ye dastaan,

Zara ye bhi to bata do
Ki gazal mein farmaana kya hai?

-


7 APR AT 22:55

Kisi bhi baandh ke hone se, nadi ki maat nahi hoti,
Suraakh har deewaar mein ho jata hai, haunslon ki koi kaat nahi hoti.

So hum bhi hijr se guzarte hai us se vasl ki aas mein,
Khair, din to roz dhal jata hai, bas sukoon bhari raat nahi hoti.

Aur maana ye sach hai ki baat to sabhi se hoti hai,
Par zara jaan lo yeh bhi ki sabhi se baat nahi hoti.

-


6 APR AT 21:13

Ki door reh kar jo karte hai, wo bhi kya kamaal pyaar karte hai,
Hum chaand ko dekhte huye, chaand ke dikhne ka intezaar karte hai.

-


4 APR AT 22:08

Arse baad, na jaane kyu, aaj ye raat sata rahi hai,
Ki na tum aa rahi ho, na hi neend aa rahi hai.

-


19 MAR AT 0:17

Apni aaghosh mein lelo, duniya se door kardo,
Zulfon ki chao.n mein sula lo, mere sukoon ko manzoor kardo.

Main saada hun, main aam hun, hun bheed mein, gumnaam hun,
Humare naam saath jod kar, mujhe be-intehaan mash.hoor kardo.

Aur main apne sheron, gazalon se door hota ja raha hun,
Tum mujhe yun pyaar karo ki likhne pe majboor kardo.

-


24 DEC 2023 AT 20:26

Dil tumhara bhi to toota tha, bhool gaye ho to maazi se wo dard pata karna,
Phir kaise tumhari aadat ho gayi, mere dil ke saath khataa karna.


Aur har kisi ko samajhne ki kaabiliyat maine har baar maangi hai,
Ae khuda is baar mujhe thodi si anaa 'ataa karna.

-


11 DEC 2023 AT 23:37

Humare naam tab hi judenge jab tumhe gawaara hoga,
Har dam maryaada mein rahega, na ye dil awaara hoga.

Keh do ki wo sadayein bas khwaab na thi,
Kabhi to mujhko tumne bhi pukara hoga.

Maddham-maddham vish-paan karaya tha usne,
Halahal tha wo shakhsa jise socha shakarpaara hoga.

Doodh ka jala to chaach bhi phook kar peeta hai,
Main to diljala hun, ab na aasaani se ishq dobaara hoga,

Har baar meri pyaas aankhon mein namak chod jati hai,
Koi ek dariya to mile jiska aab na khaara hoga.

Mohabbat be-intehaan karta hun, so mujhe soch k apnana,
Ye ishq hai, namak nahi jo swaad anusaar hoga.

Jo na chaaho mujhe to ye teer seedhe dil mein utaar dena,
Kadwe raho par sachche raho, dil shukr-guzaar hoga.

Main be-jhijhak phir is aag k dariya mein utar jaonga,
Tum ek baar to kaho is rishte mein na dil ko khasaara hoga.

Aur jannat k khazaane bhi mujhe khareed na payenge,
Tum ek baar to kaho 'Naman' sirf tumhara hoga.

-


Fetching Naman Tandon Quotes