Ae zindagi ,
Hara nahi me abhi ,
Haan mana thoda thak gaya hu ,
Iska matlab ye nahi ki me dar gaya hu ...
Tu khush na ho ki tune mujhe jhuka diya ,
Ye to mere sanskar hai jisne mujhe jhuk ke aage badna sikha diya ..
Surya hu me ,
Jalna meri fitrat me hai ,
Par savera ban k logo k jeevan ko roshan krna meri niyat me hai
Me aadhiyo se bhi jyada parabal hu ,
Haan mana Sagar ki laharo se jyada vichalit hu ..
Magar iska matlab ye nahi ki mere lakshya avijit hai ..
Bahot kar li koshishe tune mujhko harane ki ,
Par Ab waqt mera hai ,
Me uthuga wapas ,
Apne lakshya ko pa jauga ,
Dekhna Tu
Ae zindagi
Ek din Tujhe khubsurat bana jauga ..-
#Traveler #Writer #learne... read more
Zindagi .. Kya hai Zindagi ???
Tumhe pata hai ??
Mujhe lagta hai zindagi ek kahani hai .. Jo Likhi ja chuki hai ,
Hume bas Jeena hai Aur us kahani ko mukammal krna hai
Haan par hume ye riyaayat hai , is kahani ko ek Khubsurat anjam dene ki.
To gar ye riyaayat hai ,
To kyu na Zindagi ko aise jiya jaye ki agar mera aaj bhi mera aakhir ho ..
To bhi anjam meri kahani ka Khubsurat hi hoga...-
Suno na Ma , Suno na..
Kyu janam dia tumne, mujhe is duniya me,
Kya pta nahi tha tujhe ,Tere hi apno ka..
Kyu roza rakha tune ladki pane ka,
Kya pta nahi tha tujhe, insano k roop me rah rahe janwaro ka..
Ma, Rishtedaro k ghar pe aane par, Me bhi bhaiyu sa khush hona chahti ho,
Chod sare kam me bhi unke sath khelna chahti hu..
Me bhi chahti hu unki godi me jake wo chocolate le aau,
Jane par unke thoda apne kamre me beth ke mayus ho jau ..
Par dar lagta hai Ma, mujhko dar lagta hai..
(Full Poem in Caption)-
Khuda k jaisa kuch dikhta h mujhko tujhme ,
Me sirf tujhe dekhu aur khuda ka sajda ho jaye to acha h....-
Kisi shayar ki unsuni aawaz si lagti ho ,
Mere geeto pe saje saaz si lagti ho ..
Subah ki chai k sath padhu us akbar si lagti ho..
Tum mere jajbato ko byan krte vichar si lagti ho ..
Log mannate mangte hai jis ke liye,
Mujhe khuda se mile bina mannat mile uphar si lagti ho ,
Bhuke ki bhuk pahle niwale se mita jaye us aahar si lagti ho ..
Tum meri kahaniyo k Saar si lagti ho,
Dua mangi thi meine ek,
Jamane bhar ki khushiya pane ki,
Tum unhi duao ki khuda se mili manzoori lagti ho ,
Zindagi jeene k liye mujhe tum jaruri lagti ho..
Me rato ko sou to,
Tum mere khawab lagti ho..
Aasmano pe apne khawab piro aau to,
Tum khawabo se bhari kitab lagti ho..
Chand suraj se usi chamak ka raj puche,
Tum suraj ka wo jawab lagti ho ..
Muskurate rahte hai aajkal ye hoth mere,
Tum meri Har khushi ka raaz lagti ho ,
Mujhe jeevan jeena sikhata,
Tum apne aap me ek samaj lagti ho ..-
Jo bat nhi likhi aaj tak , wo bat likh raha hu,
Apni ye kahani tere nam likh raha hu.. ✍🏻
-
Kisi shayar ki unsuni aawaz si lagti ho,
Mere geeto pe saje saaz si lagti ho,
Subah ki chai pe jo padhu me us Akhbar si lagti ho,
Tum meri jajbato ko byan krne k vichar si lagti ho ..-
हज़ारों दिल दुआयें किये बेठे है एक तुम्हें पाने को ,
देखते है किस कि दुआ क़ुबूल होती हैं ..।।-
Izzazat na mango, has k bol do,
Dil me jo chupa h wo raz khol do,
Mannat nhi h ye, na sajda h kisi ka,
Raz hi to h ye dil ka jo hota ankhon se bayan,
Aakhiri Lamho par na chodo aaj hi bol do,
Kal ka kya pta aaj hi ye raz khol do,
Fasle kam ho jate h duriya mit jati h,
kuch batein agar dil ki byan ho jati h,
Jyada na socho ab to bol do,
Raz dil k ab to khol do...!!-
में एक कहानी हूँ जिसका सार तुम हो,
मेरी ज़िंदगी की ख़ुशियों का आधार तुम हो ...।।-