Apne husn par haya ke labade ko daal kar
Aur Teri baargah me ilteza nikal kar
Daman e wafa me Chadar sambhal kar
Ishq e inteha me mai ,khud ko halal kar
Apne rooh ,apne jism se cheekh o pukar kar
Dar badar ki thokro se Maar kha kar
Honto pe tere naam ko aayi saja kar
Aansuon ke angar se ,seena jala kar
Khawahishon ke mehal sab tod taad kar
Khawab jo the saare peeche chod chad kar
Mai aayi hu tere dar par ik umr gujar kar
Hajir hoon tere samne kaleza nikal kar
-
Kabhi parwat, kabhi darya kabhi sehrahon me thi
Mujhe kuch yaad nahi mai Ishq ke panaho me thi
Mai kehkashan me khoi taaron ki jhurmuth me
Kabhi chand , kabhi sitaron ke baahon me thi
Ye jameen ,ye ambar kabhi pukarta mujhko
Mai doultmand apni hi nigahon me thi
Mai chulbul c ladki thi nadani me mashgool
Har shai se bekhabar ,mai khawabgaho me thi
Mai wakif nahi thi is duniya ki aab o hawa se
Khushgawar tha manzar mai shajar ke chav me thi
mujhe talash thi jiski, wo Goya sehra me paani
Ashmanjash me padi ,mai anjaan raahon me thi
Mujhse koi muhabbat kare ,ye hasil nahi mujhko
Mai jazbaati ,bikhri hui mukaddar ke pav me thi
Mai thi jo gumshuda, apni hi kahani me Nargis
Mai berang hawa,ayi thi Kaza, benoor fizao me thi
-
Tum kaise jaan paoge zazba mera
Ishq tha jaise koi darya mera
Hum fakat thehre rahe jiski chah me
Ek wahi tha kamyabi ka zariya mera
Uske aage dil ki maine ik na suni
Ishq tha jaise goonga aur behra mera
Wo dobara mila bhi to aise mila
zakhm dil par laga hai aur bhi gehra mera
Wo Haseen manjar ab bhi meri ankhon me hai
Mai kaise maan lu wo tha gujra. mera
Ik azaad prinda ud gya mujhe chod kar
Wo samjha ishq hai jaise koi pinjra mera
Fakat uske liye hi sabkuch bhula baithi hu
Ye Dil aaj bhi hai jiski yaad me tanha mera
Meri ankhein yun to har dam khushk hai
Magar jab dekhti hu, ro padta hai sheesha mera
Jo jaante nahi wo yahan aakar ruke
dard se Aaj bhi cheekhta hai kamra mera
Mai janti hu ik din wo ghar ko paltega
Yakeen hai mujhe, hai yahi taqwa mera
Ye dil kya jaan bhi uske kadmo me hai
Sab jhoot hai bas yahi kissa sachcha mera
Mujhe hai ulfat unse Nargis aaj bhi
Ishq aaj bhi dekho ,dikh raha hai Zinda mera
-
Meri ijjat tere aashiyane me thi
Meri gurbat tere ashiyane me thi
Meri ummeedo ko pamaal kar diya
Meri shakhsiyat tere ashiyane me thi
Mere gham ka koi saathi na raha,
jo baaki tha wo bhi baaki na raha
Meri khuddari ka tamasha banane wale
Tu mera tha ,ab haami na raha
Kya azab pesh kiye hai manjar tune
Chalaye peeth ke peeche khanzar tune
Koi kasak baaki rahe to rahe kaise ,
the hum 72 aur maar giraye 72 tune
Tha ajab manzar ajab haal tha mera
Hairatangez khayalon se ruksaar laal tha mera
Haan Maine teri wo guftagu thi suni
Jab kaha tumne mai ise janta hi nahi
Mere hi naseeb me reh gyi shayad koi kami
Mai use jaan kar bhi Rahi anjaani bani
Mai akeli thi magar wo toh akela na raha
Dar Haqeeqat itni c thi, ki wo ab tanha na raha
Chuna tha jisko maine apni rehbari ke liye
Guftagu karne ka bhi nadaan tareeka na raha
Mai dost hu uski ,janti hu use
Khudara Yeh na kahiye, use saleeka na raha
-
Rokthe rahe jisse pidar mere
wahi maine kaam kiya hai
apni khudi ka souda kar
khud ko nilaam kiya hai
na mehramo se guftagu
subah wa shaam kiya hai
apni khudi ka souda kar
khud ko nilaam kiya hai
kabiz meri rooh ko
Maine wo anjaam diya hai
apni khudi ka souda kar
khud ko nilaam kiya hai
tanhaiyyan meri ab to
paak nhi shayad
Haya ke labade ko
mai se jaam diya hai
apni khudi ka souda kar
khud ko nilaam kiya hai
-
Life is going towards dissorderness.
And time just passes with life
Situations makes me worthless
People makes me insecure
Trifles over a small things.
And looses the temper
Energy looses my body
Amplify with the chamber.
People comes in life
As waste as trashes.
Sometimes they hates me
Sometimes they embraces
I'm still trying to find loyalty
With the slow pace
Just by keeping down slow
And enhancing my efforts with grace
Thinking made me subtle sublime
Enforcing towards the self-love
Making thoughts align
I don't find someone
Who can uphold me
Amplify my soul
Sometimes adore me
I Accompanied with my heart
without hoping peace
Coherence is in my blood
as dense as breeze-
जबसे है तुमको देखा, इस दिल को करार आया
होंठो पे गुफ्तगू है, आंखों में तेरा साया
मेरे ईश्क की इंतहा, मेहदूद है तुम्हीं तक
तुम ही मेरे आसमां हो, इसकी हद है जमीं तक
तिशनालब हो के रही हूं, तेरा ही अक्स भाया
होंठो पे गुफ्तगू है, आंखों में तेरा साया
तेरी खुदी का जानां , हमसे भी आशना हो
कि चिराग जल रहा हो, रौशन भी समां हो
ये दिल भी जल रहा हो,जलने का रुत है आया
होंठो पे गुफ्तगू है , आंखों में तेरा साया
मेरी सांस थम रही है, मुझे तेरी ही कमी है
सीने में चुभन है , आंखों में भी नमी है
लबरेज़ हूं गमों से, गम में भी कुछ न खाया
होंठो पे गुफ्तगू है, आंखों में तेरा साया
इन ईश्क की वादियों में, हम भी खो चुके है
तुम्हें भूलने के डर से , सौ बार रो चुके है
जद ए इश्क पर रहे हम, सुकून भी लुटाया
तब जा के उल्फतों में, मैंने मरहला है पाया
नर्गिस सिसक सिसक कर, क्यों इतना रो रही है
खुद ही में जल रही है , पलकें भिगो रही है
कि होश खो चुके है, इस दिल को है गवाया
होंठो पे गुफ्तगू है, आंखों में तेरा साया
Nargis Khatoon/-
-
Sir se topi gira kar
apni ijjat ko tere hawale kar
Jameen par khoob naak ragad kar
Hum kehte hai" uski tareef karo
jo apne saar me buland(mahan) hai "
Fir bhi hamari wafadari par shak hai
-
dushman ke pass Kuch der
thahar ke aa gya hoon
Shaam ho chuki hai
Mai ghar ko aa gya hoon
Mai prem jaal me jiske
giraftar ho chuka tha
Us bewafa se poochiye
Mai mar ke aa gya hoon
Magroor tha mai jin
Muhabbat ki wadiyon me
Ab samshan ho chuka hai
Mai darr ke aa gya hoon
Kisi dilfreb ne Nargis
Dil ko kuchla hai is kadar
Mera jism gal raha hai
Mai jal ke aa gaya hoon
dushman ke pass Kuch der
thahar ke aa gya hoon
Shaam ho chuki hai
Mai ghar ko aa gya hoon
Nargis/-
-
खूने ज़िगर अश्कों से बहाओ तो मज़ा आए
तुम हो साकी गर जाम पिलाओ तो मज़ा आए
तेरे मैखाने में यूं तो मुझसा रिंद बहुत है
पीने वाला मै भी,मुझे हाथों से पिलाओ तो मज़ा आए
है किसका नसीबां जो आपसे जाम हासिल हो
महफिल भी सजी हो और नूरे ईमान हासिल हो
कोई गर नगमा सा गुनगुनाओ तो मज़ा आए
मेरे मुकद्दर को भी चमकाओ तो मज़ा आए
नबी के लाल हो ,है पंजतनी घराना तेरा
वलियों की महफिल में,रोज़ आना जाना तेरा
तलब है मुझको,कभी हमसे भी मिलाओ तो मज़ा आए
खाजा अपना दीदार कराओ तो मज़ा आए
खूने ज़िगर अश्कों से बहाओ तो मज़ा आए
तुम हो साकी गर जाम पिलाओ तो मज़ा आए
-