Umr bhar maine tujhe hi chaha faqat
Umr bhar ek tu hi khwaab raha
عمر بھر میں نے تجھے ہی چاہا فقت
عمر بھر ایک تو ہی خواب رہا-
मैं खुद कैद हूँ अपने दिल की दराज़ में
Shayrah
Instagr... read more
ये दुनिया सिर्फ़ तमाशाई है
ये बात समझ अब आई है
कौन देता है साथ सदा
आख़िर में यहां तन्हाई है-
Haqeeqat me koi khwaab ho jaise
Koi chingaari koi aab ho jaise
Khushiyon sang gham baadal
Ye zindagi koi gulaab ho jaise
حقیقت میں کوئی خواب ہو جیسے
کوئی چنگاری کوئی آب ہو جیسے
خوشیوں کے سنگ ہیں غم کے بادل
یہ زندگی کوئی گلاب ہو جیسے-
Tere hone se zinda hai aarzu-e-hayat
Tu na hota toh yahan kabristaan hota— % &-
Sochti hun
Kisi roz likhungi
Ek khat tumhare naam
Us khat me likhungi dil ki har wo baat
Jo tumhe kabhi keh na saki...
Kisi roz likhungi har lafz mohabbat
Ke mere dil ko hai bas tumhari hi hasrat
Tumko sunaungi is dil ka dhadakna
Hijr me tumhare pal pal tadapna
Kisi roz likhungi
Har wo rang ishq ka
Jo meri aankhon ne sajaya
Sirf tumhare liye...— % &-
हर रोज़ यूं ही इक शाम गुज़र जाती है
हर रात यूं ही तेरी याद चली आती है— % &-
Chhod diya hai ab khwaabon me jeena
Ke Haqeeqat se ru ba ru ho rahi hai zindagi— % &-
Thak gai hun is taveel safar me chalte chalte
Ab is mod par manzil mil hi jaaye to achha— % &-
Abhi bhi waqt rehte sambhal jaaye to achha
Mere seene se ye dil ab nikal jaayein to achha
Sham ke qalb me utarne se pehle pehle
Ye sooraj barf bankar pighal jaaye to achha
Mujhse dekhi ni jaati uski aankhon me nami
Wo shakhsh mere samne muskuraaye to achha
Main bhatak rahi hun teri duniya me aye khuda
Ab tu hi mujhe raah dikhaye to achha
Thak gai hun is taveel safar me chalte chalte
Isi mod pe ab manzil mil jaye to achha
Do ghadi ki mulaakaaton se jee nahin bharta
Tu aake mere pehlu me theher jaaye to achha— % &-
Kasoor na uska tha na tha zamane ka
Ki mera hi khwaab tha use apna banane ka-