Dono me sawal the.
Par woh chup tha. Woh khud ke sawalo me ulja tha.
Mene uska hath pakra aur khaha.
Chalo man liya apne jana hai. Par agar jate waqt raste me apko yeh khabar mili ke me mar gayi hu kya ap laut aawoge.
Kya ap laut aawoge mere janaze ko kaanda dene.
Kya ap laut aawoge mujhe khabar me utharne.
Kya ap laut aawoge mujhe akhir bar dekhne.
Kya ap laut aawoge mujhe akhir bar gale lagane ke liye .
Batawo kya ap aawoge.-
Kya farak hai Teri Aur uski mohabbat me
Mene has ke Jawab Diya
Me unke sath rehne ke liye kuch bhi kar sakti Hu
Par unko koi na koi bahana mila dur Jane ka-
Woh bahane dhundte rahe mujhse dur Jane ke
Mene ankh band karke unki khahish puri kardi
-
Andera
Kya hai yeh andera?
Yeh isse puch andere me Zor Zor se roti thi,
Andere me khud roti thi Aur subha ki Kiran woh mushkurati thi.
Andera woh hai jisne meri sari taklife dekhi hai
Mera Rona
Mera tarapna
Meri zindagi ka hissa hai andera-
Kya hame mohabbat Aj tak samaj me aayi hia
Par Usse samaj me aayi mohabbat
Woh karti rahi pyar usse
Har ek tokar khayi ohir bhi pyar karti rahi
Intezar karti rahi
Par aasu ke alawah kuch na mila-
Mohabbat me kitni ajeeb hai na
Pyar kare hum unse
Woh kisi Aur se
Hame koi Aur dekhe woh gaavara tha
Par usko koi Aur dekhe woh na tha gaavara unko
Wah re mohabat
Gazab ka kheh yeh hai-
Kya mera sath usko pasand tha
Kya mera usko har chiz puchna
Usko acha lagta tha
Kya mere aasu usko taklif dete
Kya Meri khamoshi usko chupti
Kya mera usko rokna acha lagta tha
Kya Meri har taklif ke bare me bat usse karna acha lagta tha
Kya usse kuch sukoon sa mangna galat tha
Kya apni bat usko batata galat tha
Kya hai yeh rishta
Jahan ek ko taklif ho rahi hai
Par dusra bas khamosh hai-
Ek ajnabi aaya tha pass mere
Bheth kar muskurake puchne laga
Kya huwa aj kal tanhan se bhetne lage ho
Nazar aaraha hai woh koi noor se gayab hai
Mene aasu ko pochke ke khaha
Sab ne mujhe us waqt akela chora
Jab mujhe unki zarurat thi
Usne haske jawab diya
Mene khaha tha mat rakhna kisi pe bhi bharosa akele rehna hai hame
Jab mene palat ke dekha woh thi meri perchayi-