Nabanita Ray   (Adhuri chand)
32 Followers · 12 Following

A Student ,
Passionate and ambitious
Joined 2 May 2019


A Student ,
Passionate and ambitious
Joined 2 May 2019
9 FEB AT 19:11

Jab koi zindagi ka hissa banne ki koshish mein ho,
Sab kuch bhula ke sirf aapka hi sath mangta ho,
Us pal ko beh jaane diya karo
Bina soche samjhe aage bar jaaya karo
Kyuki wo insaan jab duniya ke liye
Har choti si choti baat ke liye
Aapko bhul jayga
Tab wo pal phir laut ke nahi aayega.

-


22 JUN 2023 AT 12:30

Mere kanha
Mere kanha toh wo hai
Jo mujhse bohot pyaar karte hai,
Meri khushi mein khush aur dukh mein
Mujhe khush karne ki koshish karte hai.

Mere kanha
Mere samman ki raksha karte hai
Bheer mein hi nahi
Akant mein bhi maan banaye rakhte hai.

Mere kanha
Apne swarth ke liye na jeete hai
Na koi maag
Na koi zid
Nyati ke mayajal mein bus sath dete hai.

-


18 JUN 2023 AT 22:43

Humesha main hi kyu?
Jisko intezar karna padta hai,
samjhota karna padta hai
Haan, sab kuch chodna padta hai.
Humesha main hi kyu?
Jisko jhoothi khushi nibhani padti hai,
Dil ki baatein chupani padti hai
Haan, compromises karni padti hai.
Lekin yea sawal dusre se nahi
Puchna toh apne aap se chahiye,
Na chaho tum
Na khushi ho tumhari
Toh aise rishtoon ko apnane se thoda sochna chahiye.

-


14 JUN 2023 AT 21:58

Khud se hum jhoot kitna bolte hai
Na chah kar bhi jhooti muskaan bharte hai,
Kabhi khud ke liye
Toh kabhi dusro ke liye
Jhooti zindagi kitna jeete hai.
Kaun apna aur kaun paraya
Hai samajhna bohot mushkil,
Akhir kya chahta hai
Aur kya karta hai
Nahi suljha pata hai yea dil.

-


14 JUN 2023 AT 21:43

Aaj phir kalam hath aayi hai
Khud ki tasveer samne aayi hai,
Hazar ummedein tod ke
Apni aukaat nazar aayi hai.

Kuch rishte khubsurat hote hai
Apne rangoon se range hote hai,
Kaach ki tarah masoom un aayne mein
Kahi na kahi dard bhi chupe hote hai.

-


5 SEP 2022 AT 22:24

ज़िंदगी के सवालों में उलझ गई हूं
समय के साथ साथ, नजाने मैं कहा आ गई हूं।
लोगों ने मुझे बताया कि समय बदल जाता हैं
लेकिन समय ने मुझे बताया कि लोग बदल जाते हैं।
ज़रूरत बदलती हैं, अहमियत बदलती हैं
विश्वास बदलता हैं, नजरिया भी बदल जाता हैं,
बारिश की हर बूंद आसूं को छुपा देती हैं
जब समय का हर काटा रिश्ते बदल देता हैं।

-


6 MAY 2022 AT 13:59

Kisi ko rulana toh bohot assan hai
Issliye koi hashane wala chahiye,
Main ruthti bohot hoon
Issliye Pyaar se koi maanane wala chahiye.
Chod ke jaane wale toh bohot dekhe hai
Koi nibhaane wala chahiye,
Mere gusse ko hi sirf nahi
Uske piche ka pyaar samjhne wala chahiye.

-


18 MAR 2022 AT 0:44

Thik hain na?
Kisi dusre ki khushi ko
Apni khushi maan lena,
Aapne naam ke aage
Uska naam zoor lena.

Thik hai na?
Apne sapno ko piche chod
Uske sapno ki udaan bhadna,
Apne har asoon chupa ke
Sirf uske liye muskurana.

Thik hai na?
Har pal jis ke sapne sajao
Pal bhar baat karne ke liye bhi use mangna,
Dil ko jo na bhaye
Apni khushi unhi cheezon mein talashna.

Chalo aao
Iss holi apne rangoon mein rangtey hai,
Kisi dusre ki khushi se pehle
Iss baar apni khushi ke liye sochtey hai.


-


7 FEB 2022 AT 23:00

Kaha the tum tab
Jab main tumhare samne pyaar ke liye girgira rahi thi,
Kaha the tum tab
Jab tumhare sath baathne ke liye wakt mang rahi thi.
Kaha tha maine ki
Sambhal lo humare rishtey ko,
Kaha tha maine ki
Ruko thoda samajhne do.
Aisa nahi tha ki
maine yea rishta ek jhatke mein tod diya tha,
Aaj nahi toh kal samajh jaoge,
Kehte kehte tumhe apni zindagi ka ek ahem hissa banaya tha.
Tab kyu nahi roka mujhe
Jab main tumse door ho rahi thi,
Kaha the tum tab
Jab raat ko akele main roote roote soo rahi thi.

-


6 DEC 2021 AT 23:56

Zindagi ke mayine badal jaate hai
Kabhi saaf toh kabhi dhundhle
Rastey chalte chalte
Manzil piche chut jaati hai.
Chura kar hath apna
Jab apne rastey kadam badha diya hai,
Tumhe ab kya samajhana
Iss rishtey ab kya rakha hai?

-


Fetching Nabanita Ray Quotes