Ñ Ś  
412 Followers · 21 Following

Joined 13 May 2019


Joined 13 May 2019
4 NOV 2021 AT 1:00

Jazbaton ki gehrayion me,
Ab kuch Lagta nahi suhana,
Yun to yadon ke tanha safar me,
Aasan nahi Ankhon me dard chipana,
Ab chehre pe Muskurahat bhi
lagti hai udhaar ki,
safar-e-anjaam nahi,
tanha hai safar zindagani ka,
aur zinda dili ki qhurbani ka...

-


1 NOV 2021 AT 0:29

Rishton me Ehsaas-e-khadar aur Izzat-o-aabruu hona lazmi hai, chahe Rishte khoon ke ho ya Jazbaton ke......

-


13 JUL 2021 AT 22:38

Jazbton ko bayan karna aur samajhna agar itna asaan hota toh duniya me koi rishta nahi tuttha....

-


17 JUN 2021 AT 0:47

Hairaan pareshan

hai zindagi,
is gumnaam zamane ki sazishon se....

-


17 JUN 2021 AT 0:40

Intezar hai us pal ka, ke yeh intezar, intezar na rahi.....

-


13 MAY 2021 AT 21:30

Assalamualaikum,

Taqabballahu minna wa minkum!

May Allah accept our sincere prayers and shower his blessings on us and our family!
By the grace of Almighty may this Eid bring lots of peace, health, happiness and prosperity to entire Ummah!

Eid-ul- Fitr Mubarak....






-


9 APR 2021 AT 22:07


Khauf-e-Dil ka sitam,
Chere pe jhuti muskan aur
num Ansoon ki wajah,
koi humse na puche,
puche to koi isqadar puche
ke koi gonjaish na rahe
zulm-o-sitam, dar-o-khauf
aur nainsaafi ki,
jo in saab ka hai sabab.....

-


16 MAR 2021 AT 23:01

to hold on my emotions,
and be grateful,
for I know My Rabb
has kept great things
in store......

-


12 MAR 2021 AT 11:10

Aalam-e-Jazbaat me,
kabhi sabr nahi milta,
kabhi sahare nahi milte....
Gham-o-ranj me,
kabhi aankh nahi lagti,
kabhi ansoon nahi rukte...
Aalam-e-ulfat me,
kabhi baat nahi hoti,
kabhi alfaaz nahi milte.....
Ek pal me mitadon
yeh duriyan ke darmiyan,
magar kabhi raaste nahi milte, kabhi khadam nahi chalte..

-


18 FEB 2021 AT 14:50

Woh khamosh zaroor hain,
Kamzoor nahi,
Woh zakhmi zaroor hain,
Magar Kisi malham ke mohtaaj nahi,
Woh totte zaroor hain,
Magar aaj bhi mazboot hain,
Woh waqt aur halaat se
majboor hain,
Magar lachaar nahi,
Kyunki unke saath
Rabb ka jo saath hai.....

-


Fetching Ñ Ś Quotes