Dil aur dimaag ki ladayi me dil hamesha jeeta hai.
Dil ke kisi kone me aaj bhi usi ka ek hissa hai.
Warna ye kaise hota, jo hamara chain cheen ke.
Hamari hi duaou se chain se sota?-
Chalo jao jitni marzi door humse ab awaaz nahi hum , tumhe dene wale.
Fikr toh bas is baat ki hai ke,
koi tumhe bewafa na kehde..-
Aaj apni dastan ke panne kuch ulte palat kar dekha. Bahut sukoon mila ye dekh ke. Ke vo humse toh door chale gaye par hamare alfaz aur ehsaas se nikal nahi paye.
-
Hum nahi bhagte is dharti par kisi ke piche.
Bas intezaar karte hain hamari aour chali hawaou ka.
Dharti pe pade huve ko sar jhuka kar dekhna pardhta hai.
Aur hum sar uthakar jeene ke aadi hain.-
Chalo bayan kar bhi denge alfaz me hum apni dastan .
Batao kya ehsaas ki gehrayi me tum japaoge?-
Chod diya hai ab kisi ke naksh o khadam par chalna.
Ab raasta bhi apna hoga. Aur manzil bhi apni banayi hogi.-
Achha laga aaj kisi se baat karke.
Hum ye roh jaan paye ke.
Hamara hona na hona kisi ko toh bekharar karega.-
Jab hum yahan aye the ,
Kuch jante bhi the aur
Kafi kuch se be khabar bhi the.
Aap ne kuch sikhaya.
Kafi kuch naya bataya.
Hamari kamiyabi pe . Hamari peet thapki.
Aur na kami pe hamara sar sehlaya.
Kuch hi door ka safar tha hamara saat me.
Par kasam se is raaste me bada maza aya.-
Khuda kare aap unche se bhi unche mukaam par pahunche.
Kamiyabi aap ke ghar subha shaam pahunche.
Chahe aap jahan bhi jao itni door toh nahi jasakte.
Ke aap tak hamara salaam na pahunche.-
Hum chahte toh nahi par aaj ye horaha hai.
Humse aap ke milne ka raasta kho raha hai.
Aap ka hona hamare liye kya mayine rakhta tha .
Is ka ehsaas hume aaj ho raha hai.-