Khud say baat karo, khud he khafa ho khud say…
Khudi mai hum aise hain, ki bey khud huwey…-
Uth- ti hai dil mai khawashien, toh dabti hai kuch hazaar
Duniya k moul bhaav mai, khasaara bohat huwa…
Kuch say huwey qareeb, toh badhtey gaye raqeeb
Hum say toh kayi qafilon ka, kinaara bohat huwa…
-
Saari duniya k haal hai afsurdah
Hai dua ki yeh Eid khair laaye…
Aaj ka din zameen pe afzal ho
Aaj ek nayi bahaar aa jaaye…-
Hazaaru talatum tere rukh say guzar k tham jaate...
Mera he dil hai jisey qaraar nahi aata...
-
Gardishon say he fakat guzarta nahi hai waqt
Waqt ko chahiye hum jaisey b saraf karne k liye
Yeh jo jaaney ko hai tayaar leke apne sarmaaye
Iss ko b ilm hai ki naya saal hum he say toh hai-
Khawaabon ki tijori khol, kuch naye khawaab nikaal
Ab ki aamad hai naya saal, kuch naye khawaab nikaal
Kabhi hastiyon mai ,kabhi pastiyon mai guzar gaya yeh saal
Kartey rahenge phir koshishein,naye saal, kuch naye khawaab nikaal-
Raat’ein hain taveel, khawaab b hamarey kam kahan
Karvat badaltey hain toh naye sapney pirohtey hain
-
Hum apney shehar ki taarikyoun say liptey hain
Aur tum ho ki apne shehar ki roushni say b khafa ho-
Kabhi iss shehar k janjaal say door aate hain
Ki inn nadiyon k sahaarey mujhe suroor aatey hain…
Nahi aisa sukoon mumkin inn imaaraton mai
Hai ibadaton sa sukoon milata mujh ko pahaadon mai…
Rawaani inn nadiyon ki mujh mai basti hai
Khalwaton mai mujhe meri hastii milti hai…
Mujh say milti hai yeh hawaaein ki jaise baad e saba ho
Aisi hai yeh fizaa ki jaan fidaa ho…-
Bohat he chaka chaund hai duniya ,magar sukoon kam hai
Hai jaane ko manzilein bohat, magar raahi kam hai…
Koyi do waqt roti milney pe khush hai
Kisi ko saara aasmaan b mil jaaye toh kam hai…
Koyi kaanta b chubney ka banaaye hai manzar
Kisi ka sarr b katt jaaye toh kahe kam hai…
Koyi thakta hai pal bhar mai zindagi k safar say
Kisi ne um’er hai guzari safar mai aur kahe kam hai…-