Muskan Singh   (Muskan Singh)
1.9k Followers · 3 Following

read more
Joined 3 December 2019


read more
Joined 3 December 2019
3 APR AT 22:28

Words can deceive but vibes can't.

-


22 FEB AT 22:43

Kabhi hua hai aisa,
Jb tum sajh dhaj ke taiyaar ho,
Aur sab keh rahe ho tumse,
Ki tum lag rahi lajawaab ho,

Par tumhe chain kaha meri jaan,
Tumhari ankho ko dekh kar aisa lag raha hai,
Mano unhe kisi aur ko dikhane ka intezaar ho.

-


6 JAN AT 13:46

Badlav mushkil hote hai,
Par zaroori bhi hote hai...

-


4 JAN AT 12:42



Rutho toh maan bhi jaao,
Manane wale ko,
Tum itna bhi maat aazmaao..

-


24 DEC 2024 AT 18:13

Second Chances can be difficult but they can turn out to be the best decisions in your life.

-


23 DEC 2024 AT 21:09

Letting go is very tough,
but you know whats more difficult, is to see someone else take your place in their life,
see them with someone else when your heart aches for them, the pinch of your nose pains as emotions overcome you.
Its difficult to unlove and somewhere its impossible but it requires courage to stop holding back and letting go and then gradually losing them,
and then you see yourself fading from their memory, and finally getting replaced from their life.
People often say that loving is letting go, but letting go comes with immeasurable pain.

The pain to see the one who will always be there in your heart happy with someone else and see yourself fading from their heart.

-


17 DEC 2024 AT 23:54

Ek sahi insaan apki zindagi khushiyon se bhar sakta hai,
Aur ek galat insaan khushiyon se bhari zindagi ko, badal kar rakh sakta hai

-


16 DEC 2024 AT 18:31

Hota hai aisa bhi,
Jab masroofiyat humare swabhav ka hissa ho jati hai,
Jb sanjeedgi man ko sukoon pahochati hai,
Kyu ki dar lagta hai,
Ab apne bhawook man ko sabke samne kholne se,
Wapas kisi par bharosa karne se.
Toh sahi kia tumne agar tumne gambhirta ki chadar se apne sehme se man ko chupaya hai,
Sahi kia tumne agar tumne apne masoom man ko sab pr aitbaar karne se rokna sikhaya hai,
Mana ki zamane ne tumhe aisa karna sikhaya hai,
Warna aisa ban na tumne kaha caha hai,
Par jo log kehte hai,"Ki sab ek se nhi hote, toh tum logo pr istarh aitbaar karna na choro",
Toh pucho unse ki kya kabhi kisi apne se, kisi azeez dost se unhone kabhi dhoka khaya hai,
Mana ki yakeen ka safar ab mushkil hota hai tumhe tay karne mein,
Par waqt do khud ko,
Ye baandh tootega ekdin,
Aur phir tumhare man ke andar simte bhavnao ki lehre, lagengi tairne tumhare man ke sagar mein,
Par tabh tak aitbaar karo waqt par,
Aitbaar karo khud par,
Ki ye waqt bhi taal jaega,
Ye ehsaas ye chot bhi waqt ke parto se purane hote jaenge,
Aur jb cheeze theek hone lage,
Tum khud se phir milna chaho,
Toh yaad rakhna is baat ko,
Ki isbaar khud ke alawa kabhi bhi kisi aur ko itna maat chaho.

-


13 DEC 2024 AT 0:10

To the overthinkers,
Manaa ki raasta mushkil hai,
Par chalne se manzil nishchit hai,
Tumhe ek sangram ladna hai,
Apne liye,
Tumhe khud ko khud se hi bachana hai,
Manaa ki ye bahot mushkil hai,
Par ye ladai tumhe khud hi jeetni hai,
Kyu ki chalne se manzil nishchit hai..

-


5 DEC 2024 AT 23:50

Realise, Accept and Release

-


Fetching Muskan Singh Quotes