'Shiddat karo itni ke muqammal ho jahan tumhara ,
Ae habeeb , Mehnat se na-khauf rehna ke yahi toh banega Vaseela tumhara.'-
'Shukr karein ke inaayatein hain ap par itni ,
Shikayaton ne kahan daaman chorhna tha warna.'-
Sabr se , ho jaatey hain pur-sukoon ,
Ke Jald-baazi kab kisi ke kaam aayi hai !-
'Na chhorhna saath tum mehnaton ka ,
Ke na hoga koi bhi
Tumhari kaamyabi ka sabab ,
Hogey to sirf tum.'
-
' Tawaqqo rakhein,
Lekin zehen mein rakhein ,
Ye asar bhi karti hain aur hashr bhi.'-
'Intezaar mein hai qalb-e-iztiraar ,
Ke tumhaare aane par hi sukoon hoga.'-
Khush raha karein janaab ,
Lekin apne aap mein .
Ke duniya khush rakhegi ,
Ye ghalatfehmi hai tumhari.
-
'Kaagaz-sa saaf rakho tum dil ,
Ke tohmat ki siyahi ziddi hoti hai.'-
'Muskurane ki wajah dhoondhne mein,
Bhool na jaiyega jo wujood hai.'-
Azaadi ho par khayaalon ki ,
Azaadi ho par na ho koi paymana uska,
Ke azaadi haq hai , ehtaraam karo uska.-