Falak se utar kar,
In nigaahon mein samao,
Itne kareeb aao ki,
Is dil ki tasveer ban jao,
Samundar se gehre tum,
Kabhi to kinaaron se takrao,
Or 'gar ho sake to,
Guftagu humse kar jao,
Chaand ki baahon mein simte hue se tum,
Kabhi to apna chehra dikhao,
Khwaabon se nikal kar,
Haqiqat ke panno pe rang bhar jao,
Or 'gar ho sake to,
Guftagu humse kar jao,
Phir se Milne ke waade ke saath,
Hume Ishq ki madhhoshi mein chhod jao,
'gar ho sake to,
Guftgu humse kar jao.-
Insta:-
Shayari account:- dil_ke_alfaas read more
Aankhon mein jhaanko,
To intezaar dikhta hai,
Haathon ko thaamo,
To pyaar dikhta hai,
Or yun hi apni khushboo chhod jaata hai mujh sang,
Jab jab apni baahon mein bharta hai,
Kis kism ka khumar hai ye,
Jo sar chhad kar,
Ishq-e-ibaadat ban jata hai.
Chaand ko taakte hue,
Use mujhsa btata hai,
Phoolon ko barsakar,
Rago mein bas jata hai,
Kis kism ka khumar hai ye,
Jo sar chhad kar,
Ishq-e-ibaadat banta jata hai.-
Roz Tere dil ke darwaaze pe dastak deti hu,
Kabhi mujhe apna to sahi,
Ab thak chuki hu sabar rakhte rakhte,
Thode aason ponch ja to sahi,
Tujhse mile dard manzoor hai mujhe,
Mujhe apne zakhm dikha to sahi,
Kabse intezaar mein hu tere,
Ek baar kabhi Nazar utha to sahi,
Roz tere dil ke darwaaze pe dastak deti hu,
Kabhi mujhe apna to sahi.-
Sab kehti hu aakhon se,
Koi inki boli jaane to sahi,
Lehre dolti si hai in palko par,
Koi kinara dikhaye to sahi,
Hothon pe taale jade hai,
Koi chaabhi lagaye to sahi,
Khushiyon ki guzarish hai,
Koi ye khwaaish sajaye to sahi,
Sab kehti hu aakhon se,
Koi inki boli jaane to sahi...-
Phir ek nayi kashti hai,
Phir ek naya safar,
Phir ek nayi umeed hai,
Lekin phir vahi ek dar.-
Ujadi duniya hai meri,
Ujada hai ye nikkama dil,
Ujada basera hai mera,
Or ujadi hai har manzil.-
Aaj phir asmaan mein baadal aaye hai,
Lagta hai usne meri muskurahat ki wajah bhej di,
Ye baadal meri khushiyan barsaate hai,
Uske paighaam jo mere liye hai,
Vo padhke sunate hai,
Uski khushboo ko,
Mitti mein bhar ke,
Mere dil ko sukoon de jaate hai,
Ye baadal,
Uski yaadein laate hai,
Or un sang mujhe mehekaate hai.-
Duaon mein jiska zikr hota tha,
Aaj vahi Anjaan sa lagta hai,
Na jaane kyu magar,
Ye mujhe khuda ka faisla lagta hai,
Haa... Talab aaj bhi hai uski baahon ki,
Magar vo sukoon kahin gumshuda hai,
Chahat to hai magar,
Chahat ke aage ek benaam sa parda lagta hai....-
Jitna zyada main samjhta hu tumko,
Utni hi zyada tum paheli han badhti ho,
Jitna kareeb main aata hu,
Utni hi dur tum chali jaati ho,
Ye dooriyan jo aayi hai darmiyan,
Kya tum sach mein yahi chahti ho?-
Tum mujhse dur ho,
Magar dur kahan ho?
Jis or nazar uthati hu,
Har us jagah tum hi tum ho.
Ye hawayen jo mere baal sehla rahi hai,
Isme apne ehsaas se mujhe sukoon dene wale bhi,
Tum ho na?
Vo diya jo jagmaga raha hai,
Us andhere ko kaatne wali roshni mein bhi,
Tum ho na?
Us talaab ke shaant paani mein,
Us Maqaam ki khoobsurati badhane wale bhi,
Tum ho na?
Us chaand mein,
Un sitaro mein,
Un badal mein,
Or unki barsaaton mein,
Har jagah to tum ho,
Magar mujhse dur....
Tumhe mehsoos kar sakti hu main,
Magar dekh nhi sakti,
Tumhe dhundh sakti hu main,
Magar tumse bol nhi sakti,
Tum hoke bhi nhi ho,
Or na hoke bhi ho,
Tum....
Mujhse dur ho,
Magar dur kahan ho?-