Mohabbat bayan ki jaye toh mohabbat kaisi,
uske samne hote hue izhar ki jaye toh mohabbat kaisi,
mohabbat toh junoon hai,
jo lafzon se samjhayi jaye toh mohabbat kaisi.-
Hakikat me nahi hai vo mera,
likin fir bhi na jane kyu,
ankho se aansu aajate hai,
usko khone ke khayal se.-
Bas itni badnaseebi na likhna mere taqdeer me
ke us shaks ko alvida kehne ka mauka he na mile...-
Aansu he nahi rukhte hai
jab khayal aata hai usse khone ka,
Dil bhi thaam leta hai dam,
dar lagta hai phir se tanha hone ka.-
Hai agar vada tera tu puch liya karega
mera haal-e-dil kabhi...
Toh tere ishq me tabah hone me
mujhe koi harz nahi...-
Tere he kandhe par sir rakh ke tere liye he rona hai
tere he seene se lag ke teri he shikayat karni hai
tere har ghum ko apna bana na hai
meri har khushi tere naam karni hai
bas itni si he mohabbat karni hai-
Ussi ke kandhe pe sir rakh kar
Ussi ke liye ro rahi thi
Fir bhi usse taras nahi aaya-
I realised how shallow the text was and how much it lacked care, value and love in it.-