Hum Ishq ke bande Hain
Mazhab se nahi Vaqif
Gar kaaba hua to Kya
Butkhana hua to Kya
Poet: Asif-Ud-Daula
Translation:
We human are made of love,
Unaware of religion.
Doesn't matter if it's a holy place of Muslim or Hindus.
Just love needs to prevail.-
Structural Engineer
Khawab hai dard Ka, dard hi khawab hai
Shikast mere sawa... read more
Khamosh Ho aur mohabaat nahi.
Khawab ho magar zaroorat nahi
Dhoop me nikla sooraj ho.
Shaam me nikla chaand nahi.-
Andhera baat Karta hai.
Ujala gumnaam lagta hai.
Sab chal diye apni rah me,
Khamoshi me dil udaas lagta hai.-
Socha to bahut tha, rone me kuch kami thi
Manga tha Khushi se, bas yakheen ki Kami thi-
Kuch kaha nahi ja sakta.
Kuch samjha nahi ja Sakta
Jo hai bas ehsaas hai tere hone Ka
Aarzo qubooli na ho nahi ja sakta-
Raat se kuch baat karni hai
Sab raaz dil k bayan karni hai
Hal e Zindagi roye the saari raat
Abb Kamiyabi ki falsafe bayan karni hai
-
Kaho Apne dil se, jo kehna uss se
Rab raazi ho aur mile phir uss se
Mulaqat ho uss se to dedaar e khawab ho
Jo khushi jeena hai sirf uss se-
Phir aisa huwa k jo bhool na sake
Jaise Paani ki chamak samundar bhool na sake-
Dair talak aur door talk hum safar kar gaye.
Sab yaad aur sab dard Kahi door chor gaye
-
Geet udasi k hum nahi gaate.
Judayi k ghum hum nahi gaate.
Khushi ko lab pe liye chalte hain
Ghum ko ghar Apne le nahi jate-