Tu badalta waqt mera,
Main thera hua samay tera....
Khwaabon ki dor se bandha woh aasmaan ka tara, tu mera....
Raaton ki veeraniyon sa shant mein,
Tu us shant si khamoshi ka shor mera....
Tu raston ka chhoota hua rahi mera...
Main aas paas tere, tu kahi parchiyon mein chipa chehra mera....
Badalte waqt mein chhupa hua, tu bichda hua lamha mera....
Bhag raha tu kahi door, parchiyon mein chhupa,
Un parchiyon ka shaks main tera....
Meri dhalti shaam ke khwaab ka na hai ab koi basera...
Dhundla si gayi meri neend se churaya hua khwaab tu mera.
-