Mai tha, waqt tha, tum nhi....
Tum the, waqt tha, mai nhi....
Mai tha, tum the, waqt nhi....
Waqt rahe ga, mai nhi, tum nhi....-
Mil toh jaate hai kayi loog magar yaar,
Har naya shaks purane sa kaha hota hai.-
Jo bhi mil jata hai ghar bar ko de deta hu...
Ya kisi aur talabgar ko de deta hu...
Dhup ko deta hu tan apna jhulasne ke liye...
Aur saya kisi deewar ko de deta hu...
Jo dua apne liye mangni hoti hai mujhe...
Woh dua bhi kisi gum khavar ko de deta hu...
Mutmain ab bhi agar koyi nahi na sahi...
Haq toh mai pehle hi haqdar ko de deta hu...
Jo bhi likhta hu mai afsana yahi hota hai....
Apna sab kuch kisi kirdar ko de deta hu....
Meri dukan ki cheeze nhi bikti 'Nazmi'
Itni tafsil kharidar ko de deta hu....-
Tum jo nhi ab zindagi me....
Lagta hai kuch raha hi nhi bandagi me....-
Hum samajhte hai ke hum kehte hai...
Sher to asal me gum kehte hai...
Jin dinno aap se milna kam ho...
In dinno sher bhi kam kehte hai...
Hum ussey ishq bulate hai....
Woh jissey naak me dum kehte hai...-
Isliye koyi zyada nahi rukta hai yaha....
Loog kehte hai mere dil pe tera saya hai....-
Woh jo aik safar ka junoon tha, woh jo manzilo ki talash thi....
Jo tadap thi mujh me kaha gayi? Mujhe kis kami ne bujha diya?-
Itna toh kisi ne chaha bhi nhi hoga....
Jitna maine sirf socha hai tujhe....-
Khuwab kya dekhe thake haare loog....
Aise sote hai ke marr jate hai....-
Benaam sa ye dard thehar kyu nahi jaata....
Jo beet gaya hai woh guzar kyu nahi jaata....
Sab kuch toh hai kya dhundti rehti hai nigahen....
Kya baat hai mai waqt par ghar kyu nhi jaata....
Woh ek hi chehra toh nhi saare jahaan me...
Jo door hai woh dil se utar kyu nahi jaata...
Mai apni hi uljhi huyi raaho ka tamasha....
Jate hai jidar sab mai udar kyu nhi jaate....
Woh khuwab jo barson se na chehra na badan hai....
Woh khuwab hawaon me bikhar kyu nhi jaata....-