Mujtaba ullah   (ع٠ز٠م)
854 Followers · 26 Following

💖 - - मु न त िज़ र
خود میں ہی ڈوب کر پاجا سراغ زندگی
Joined 14 June 2019


💖 - - मु न त िज़ र
خود میں ہی ڈوب کر پاجا سراغ زندگی
Joined 14 June 2019
30 DEC 2021 AT 23:46

Darmiyan rakhon ke zinda hai aag to
Jane kaise ishk ashkon men dab gya
Mujh me kuch nahin raakh se zyada
Na Jane kaisa bna gya wuh,jab gya
Abhi to yahin tha sath na jane kab gya
Khadsha hi rahta tha ki ab gya ki tab gya
Na alwida na Salam aakhri
Wuh gya to bde be adab gya ..
Use kisi sawal ka nhin khof
Wuh gya kyun jawab ki besabab gya

-


29 DEC 2021 AT 23:56

Guzre waqt ne barbad kiya yun ki
Guzarte waqt ko khud hi barbaad kr rhe hain

-


29 MAY 2021 AT 2:23

Ishk men bachpna to lazim hai !
Bade hokr bachpana kon krta h ?

-


25 MAY 2021 AT 0:40

Aksr
Kbhi khyalat ki dor se bndhe is zahni jahaz ko
be lgam kr deta hun main !
sochne deta hun jitna yeh chahte hain ...
jis simt sochna chahte hain.......
jis qadr sochna chahte hain........
Aksr sham ke waqt mausuqi ki dhun men
waqt ki fikr ko kinarah kash kr
bahne deta hun afkar ke samandar men
kbhi yeh tufan bn kr mujhe hi parishan krne lgte hain
kbhi bhnwar bn khud men hi dubo lete hain
agle hi pal chand ki raushni andhere men nashe sa daal deti h
andheri raat men kahin gum na ho jaun is liye
khud ko kinare pe la khda krta hun main Aksar

-


20 MAY 2021 AT 1:08

Aarzu thi ishk be misal krun
Adhura nahin ba kamal krun
Kbhi jo ladkhadao tum
Gir kr tujhe smbhal lun
Tujhe samet lun bahon men
Khud se zyada tera khyal rkhun
Tujh men hi main bayan hojaun
Konse lafz main aise istemal krun !
Mohabbat koi libas to nahin
Jise kuch waqt baad nikal dun !
Tujhse hi manga tha aye khuda !
Ab jo nahin to kya malal krun 🙂
Meri mohabbat aisi nhin ke koi yaad kre
Ab is par bhul jane wale se kya swal krun ?

-


18 APR 2021 AT 15:09

When memory card of false feelings full

-


7 APR 2021 AT 21:21

Safar ki tanhayi men
Zindaghi se hatha payi men
Kisi ke khyalat ki qaid se ..
Justuju_e_rihayi men...
Kuch lafz hai likha karta..
Dubu kar ishk ke siyahi men.
Ek marz_e_ruhani ishk..
Arsa guzra talash_e_dawayi men
Ki likh liya krta hun bas yunhin
Tahrir men kahan quwwat jo goyayi men

-


28 MAR 2021 AT 13:12

Hm to sath the
Lekin aaj main akela kyun ??
Sab to sath krna tha..
Fir akele hi khela kyun ??
Mushkilen jante the na !!
Fir yeh itna jhamela kyun ??
Kafi tha na main sirf !!
Fir aas paas itna mela kyun ??

-


14 MAR 2021 AT 20:27

I'll leave it at mid of story..

-


12 MAR 2021 AT 23:01

Main ab accha nahin rha
khud ko purana chahta hun
Zarurat ke kuch asbaq bas
fuzuliyat bhulana chahta hun
Wuh jo the kabhi mere liye
Main unko bulana chahta hun

-


Fetching Mujtaba ullah Quotes