MUHAMMAD KAMRAN   (Dastur-e-Qalam (KAMRAN))
484 Followers · 35 Following

#Muhabbat Zaroori Nahi Qalam ki Pesh-e-andaazi ke liye
Joined 27 April 2019


#Muhabbat Zaroori Nahi Qalam ki Pesh-e-andaazi ke liye
Joined 27 April 2019
2 JUL 2022 AT 20:11

Yun itna tez na bola karo humse
Ye jo muhabbat hai na tumhari jo sari duniya se khud ko ghaflat kare hue hai ye jaag jayega

Yun itna tez na bola karo humse
Ye jo aankho me junoon aur dil me jazbaa hai ye aankho se chalak jayega

Yun itna tez na bola karo humse
Ye jo khud ko sambhala hai maine sare jazbat se chupa kar ek din bikhar jayega

Yun itna tez na bola karo humse
Ye jo izzat hai is dil me tumhare liye zaar-zaar ho jayega

Yun itna tez na bola karo humse
Ye jo naksh khincha h tumhara is dil me kahi dhumil ho jayega

Yun itna tez na bola karo humse
Jo khwab sajaye hain sari duniya se chupa kar kahi bikhar jayega

Yun na tola karo is muhabbat ko chand sikke ke hawale se
Kya ek din ye muhabbat bhi duniya ki tarazu me bik jayega

-


26 JUN 2022 AT 18:45

Duniya ki mahfilon me ukta gaya hu yun ab
Saya bhi mera mujhse ab door ja raha hai

Beete kal se ab hum nahi bichadte
Khaali si zindagi aur dhua dhua har jagah hai

Waqt ki chaal me kahi piche rah gaye hum
Jo agay badh gaya wo hamara kab hua hai

-


19 JUN 2022 AT 16:09

Aaj is raat k baad se wo subah hamari nahi hogi
Na main tumhara rahunga
Na tum hamari hogi

-


23 MAY 2022 AT 23:00

Kabhi yun bhi to aa mere roo-baroo
Tujhe paas paa kar main ro paru

Mujhe manzil-e-ishq par ho yakeen
Tujhe dhadkano me suna Karu

Kabhi sajalu tujhko aankho mein
Kabhi tasbiyon par padha karu

Kabhi chum lu tere hath ko
Kabhi tere dil me basa karu

Kabhi thahar ja mere paas itna
Teri saanse main gina karu

-


30 APR 2022 AT 14:20

'ऐ रात' दीन भर की मशक्कत से बदन चूर है लेकिन
ज़माने की थकन से मजबूर हूं लेकिन
मुझे फिर से वो सुकून दे दे
मैं बहुत दूर हुं मुझे मेरी "मां" की गोद दे दे।

-


17 APR 2022 AT 16:29

Nasib unse ja mila jinke milne me koi khushi na thi
Safar us mod pr ja ruka jaha koi manzil na thi

Shab-e-roz uth-uth kr takte hain unka rasta
Wo mila mujhe us mod pr jaha zindagi na thi

Qabiz hai daro-dewar par naqsh unka ab bhi
Takte rah gaye hum us naqsh pr jo hamari na thi

Unka hona na hona bhi kuch kam na aya
Zindagi ki tanhayi qabr ki tanhayi se kam kya hogi

-


8 APR 2022 AT 22:10

Mukhtasar alfaz me kya kuch wo kah gya
Zindagi ka qissa do lafzon me rah gaya

Ye kali raat ye taare tim-tima rahe sabhi
Apni gardish me wo ek lamha suna hi rah gaya

Bator rahe sabhi ye duniya khushiyon ki aas me
Anjane me wo ek shakhs sare ghum bator gaya

Yun tham gaya wo fasana ek wafa ki intzar me
Phir se wo ek shakhs sare ghum bator gaya

-


7 APR 2022 AT 11:05

जिंदगी हो रही बसर तन्हा
काफिला साथ में और मैं सफर में तन्हा

अपने साए से भी चौंक जाता हूं
जिंदगी गुज़र रही इस क़दर तन्हा

रात भर बातें करता हुं तारों से
रात काटे कोई किधर तन्हा

हमने दरवाज़े तक तो जाते देखा था उनको
फिर न जाने गए वो किधर तन्हा

डूबने वाले भी पार जा उतरे
मैं रह गया साहिल पर खड़ा तन्हा।

-


14 MAR 2022 AT 23:07

Kya koi Safar bhi akhiri hota hai
Gunchay-e-chaman ka karwan bhi akhiri hota hai

Kya log milte hain bichad jane ko
Wo zindagi ki safar me bichad jane ki bat kahta hai

Mana ke hun zauk-e-dil thora kamzor main
Wo mujhse aqal ke paimane par tootne ki baat kahta hai

Halanki pul-sirat se bhi guzar jaaun us ek ki khatir
Wo meri aansuon me hi mujhe doobone ki baat kahta hai...

-


14 MAR 2022 AT 23:03

Kya koi Safar bhi akhiri hota hai
Gunchay-e-chaman ka karwan bhi akhiri hota hai

Kya log milte hain bichad jane ko
Wo zindagi ki safar me bichad jane ki bat kahta hai

Mana ke hun zauk-e-dil thora kamzor main
Wo mujhse aqal ke paimane par tootne ki baat kahta hai

Halanki pul-sirat se bhi guzar jaaun us ek ki khatir
Wo meri aansuon me hi mujhe doobone ki baat kahta hai...

-


Fetching MUHAMMAD KAMRAN Quotes