Mat Kar Tamanna Kisi Ko Pane Ki,
Badi Bedard Nigahen Hain Zamane ki,
Tu Khud ko Bana Kabil is Qadar Ki,
Tamanna Kare Log Tujhe paane ki...-
♛ ᎶĐЯҜ 么
.
αмвινєят ⋆˚🦋༘
.
ρнαямα¢ιѕт⚕️
.
ᴛʀᴜsᴛ ɪɴ اللہ + sᴀʙʀ=sᴜᴄᴄᴇss ⋆
.
∂σи'т яєgяєт ∂ ραѕт נ... read more
Na khwabon ki tarah tha na khayalo ki tarah tha,
Woh shaks ilme riyazi ke sawalo ki tarah tha,
Uljha hua hu aisa ke kabhi sulajh na saka,
Aur suljha hua hu aise ke misalo ki tarah tha...-
Arz kiya hy,
Uski gali mein mujhko jaana nahi,
Haal kaisa hy aa bhi bataana nahi,
Badi hasrat hy jana us din ki,
Woh kahe my hu,my kahu ji pehchaana nahi..-
Khudi pe aur khuda pe yakeen rakhta hy,
Zehan mein soch mei imanodin rakhta hy,
Aur falak ki saare udane usi ki hoti hy,
Joh apne paon ke niche zameen rakhta hy..-
Ki woh bolti bohot hy,
Par dil ki baat kabhi nahi kehti,
Woh hasti bohot hy,
Magar kabhi khush nahi rehti,
Woh milti hy sabse yu hi roz lagbhag,
Par dil se kabhi kisi ke saath nahi rehti,
Usse milkar mujhe yeh mehsoos hua,
Ke kon kehta hain ladkiya ishq mein,
Barbaad nahi hoti....-
Ki peeta sharab hy aur kehta hy ki nasha kharab hy,
Khud kuch karta nahi aur kehta hy ki kismat kharab hy,
Yahaan har ek aadmi ki yahi kahani hy mere dost,
Ki acha khud nahi aur kehta hy ki zamaana kharab hy...-
Andere charo taraf saye-saye karne lage,
Chiraag haath utha kar dua'en karne lage,
Salikha jinko sikhaya tha hamne chalne ka,
Woh log aaj hame daye-baye karne lage..-
Bagair usko bataye nibhaana padhta hy,
Yeh ishq raaz hy isko chupana padhta hy,
Tera bagair hi ache the 'kya musibat hy',
Yeh kaisa pyaar hy har din jatana padhta hy..-
Takleef bohot hain zindagi mein par kisi se gila nahi,
Aur koyi bina bole samajh sake aisa koyi mila nahi...-
Ke aakhri baar apni safaayi deta hoon,
Aaye logon,
Main woh nahi joh dikhayi deta hoon..-