Haseen chehro se chahunga panah
Aye Rab mai ghut kar marna nahi chahta
Haan hue hai kuch sanjeeda gunah
Magar tere siwa kisi se darna nahi chahta
Kisi waba ke supurd kar de aye khuda
Mai haram maut to marna nahi chahta
Aye Rab Muaaf karna uske bhi sare gunah
Jo usne kiya wo toh mai karna nahi chahta
Bikhra hoon!! Theek hoon!!
Mai sawar kar phir bikharna Nahi chahta-
Nafrato ko Mohabbat sikhaunga
Kahte kahte hum bhi ek roz khamosh ho jayenge
Nadiyan milengi samandar se samandar badal ho jayenge
Waqt ki khabar na hogi chamakdar din siyah ho jayenge
Neend samajh kar soyenge maut ke aagosh ho jayenge-
Saans aakhiri ho chehra tumhara ho
Tumhare siwa na koi chehra gawara ho
God me tumhari rakha sar hamara ho
Aansu jo gire tumhare wo daman hamara ho-
Gunahon se ruk gaye tumhe sochte hue
Sach hai tumhare hone se kayi gunah hue
Sath mila sukoon mila tumhe sochte hue
Sach hai tumhare hone se Dil kayi siyah hue
Tum tumhe aur tumhare rahe tumhe sochte hue
Sach hai hum rahe bass dawa aur adhoori dua hue-
Tumse milne ka hum par koi toh bahana ho
Aasmaan ho neela aur mausam suhana ho
Waqt se chura ke lamhe gar yaadien banana ho
Bass aa jana bhale mehendi dikhane ka bahana ho-
Pani nahi baras rahi hai dua sath har ek boond ke
Karna hai yakeen toh karo aankhien moond ke
Waada hai uska pahuchayega wo rizq tumhe dhoondh ke
Chahe tum ho akele ya ho sath jhund ke-
So sakte the hum bhi roz jadeed baahon me magar
Darr khuda ka aur qahar tha unki shadeed aanhon me-
Ye waqt bhi guzar jayega
Magar kabhi na tumhara asar jayega
Kinare pe rahta hai gahre pani se darta hai
Magar jo tum bulao toh bina soche hi usme utar jayega
Yeah narm-garm mijaz ka ladka jo sher likhta hai
Yeah tumhari khatir duniya se lad jayega ❣-
Rahna hai toh shaoor me raho
Na mohabbat me, Na guroor me raho
Khuddar ho toh phir khud ka rasta chuno
Warna toh phir sabki tarah ji huzoor me raho-
Andar baitha hai mere ek shayar khamosh
Kabhi kabhi hi aata hai ab usko hosh
Yun toh qayal hai ( MAN-SAMATA-NAJA ) ka
Magar khuddari ki baat ho toh aa jata hai usko josh
-