Moin Iftikhar Shapoo Ā  (Ł…Ų¹ŪŒŁ†)
6 Followers Ā· 3 Following

read more
Joined 14 January 2017


read more
Joined 14 January 2017
14 JUN 2020 AT 7:22

Bahut kuch baki hai abhi zindagi mein padhne k liye
Kuch kitaabein, kuch log aur kuch aankhein!!

-


26 MAY 2020 AT 14:33

Shikayat maut se nahi apnon se thi
Zara si aankh kya bandh hui kabar khodne lage

-


10 MAY 2020 AT 17:20

Jahan mein hazaron log, unki lakhon kahaniyan
Har kahani mein qaid, us Rabb ki meharbaniyan.

-


10 MAY 2020 AT 17:16

Aashiqon k shehar mein ek momin chala aaya
Kaafir hogya shahryaar ko bistar-e- khaar pe dekh k

-


8 MAY 2020 AT 10:32

Tum bhi kamal karte ho
Mera kya bakhoobi tum khayal rakhte ho

-


5 MAY 2020 AT 20:59

Wo girana chahte hain humein arsh se farsh pe
Nadaan ye nai jaante k hamara hosla kya hai

-


24 APR 2020 AT 13:27

Waqt waqt ki baat hai, jo kal tha mera aj wo kisi aur k pass hai, iss badalte waqt mein mujhe sukoon ki talaash hai, yun toh dariya hun mein pyaar ka ,par na jane kyun mujhe uske pyaar ki pyaas hai, haan chaha tha usey hadh se zyada, isliye aaj b wo dil ka khaas hai

-


24 APR 2020 AT 13:21

Uski taraf se wafa ho na ho koi farak nai
Hamari taraf se reh na jaye koi kasar dekhna

-


19 APR 2020 AT 17:38

Duniya khatam hone k arooj pe hai
Aur main pagal abhi b tujhe paane k junoon mein hu

-


19 APR 2020 AT 1:10

Suna hai bahut log marte hai tum pe
Mera kya hai main toh bas tumhare sath jeena chahta hoon

-


Fetching Moin Iftikhar Shapoo Quotes