Saansen meri ulajh gayi hain zara aake suljhade
Ye raat hai ya teri zulfen aake mujhe samjhade
Akele chalke thoda thak gaya hun zara haath badhade
Dhund rahe hain jis manzil ko hum dono aa ek dusre ko wahan pohonchaden...-
Kadam kadam ki raah hai
kadam kadam pe rakt,
Kon kitna kaamyaab hai
Ye batayega wakt...-
Teri tareef mein kuch alfaaz likhta hun,
Apne aansuon se tere lie apne raaz likhta hun,
Tu mohobbat hai meri in nazron ki,
Ae dilbara main tere liye premi ka andaaz likhta hun-
मुझे कुछ तकलीफ हो तो मेरा आराम तू,
मैं कोई राह हूँ अगर तो मुकाम तू,
मुझे यूँ महफिलों में पीने की आदत तो नही,
पर कभी उठे जो ये हाथ पीने के लिए तो दुआ है मेरी के बने मेरा पहला जाम तू।-
Uperwale ka aashirwad hai ke main sabko apni dua ki arzi mein rakhta hun,
Kon apna hai or kon paraya hai main sabki khabar bhi rakhta hun,
Gulaam hun sirf uperwale ke ishare ka warna main sabko apni marzi mein rakhta hun...-
Maine khud ko dekha hai teri aankhon mein to mujhe dar kis baat ka
Maine Chand tak ka safar tai kia hai tere sath tu bas lutf le har raat ka-
Saanson ki ahemiyat hume pata chali aapse
Zindagi ki keemat pata chali hume aapse
Kyun dikhayen aapko narazgi apni
Jab hume sirf or sirf pyaar hai hume aapse-
Kal tak main kafir tha aaj iman hai mujhme
Log hakikat mein dhund rahe hain mujhe
Alag se ishq ke nagme hain
Par meri to ye rooh bhi ab hai tujhme hain-
25 saal tak ka safar maine akele chala
Par jab tumse mila to pata chala saanso ki keemat ka-
दिखते हैं जब तेरी आँखों में आँसू
तो मेरी ये नन्ही सी जान तरसती है,
कभी नज़रें उठाके खुद को हमारी नज़रों से भी देखा कर
तुझमें ही तो मेरी ये जान बस्ती है।-