Bhut muddato bad kuch milla hai.
Yakinan bhut pyara hai❤️-
Ye anajan sheher kahi to lejaye ga,
blacknwhite si zindagi me rang to laye ga,
Thodi tuti futi sadko se manzil tak to le jaye ga,
Bekhayali me jine valo ko jina to sikhaye ga,
Khule asman me adhi adhuri need to pura karayega,
Ye anjan sheher hume kuch to sikhaye ga.💕
-
हाँ मैंने अपने आँचल का अम्बर बनाया है।
के कहीं गर मेरा रास्ता,
चाहतों से अलग जो चले। के कहीं गर मेरे सीने में,
साँस थोड़ी भी जो कम पड़े, मेरा अपना भी इक आसमाँ हो, ख़ुद को हर इक दिशा में बिखेरूँ,
मुझ को हर इक दिशा से बुलाना,
मैं अगर फिर से मिल भी जाऊँ
मुझे पाश में भींच लेना
मगर मेरे आसमाँ को
तहा कर मुझे सौंप देना,
ताकि तेरा भी इक आसमाँ हो
और मेरा भी इक आसमाँ हो|-
Mana dooriya hai, par intezar bhi hai
Ana Kabhi fursat me
Tmhre bina bita hua har pal tmhe btana hai
Tumhe khayalo me lane ka zulum jatana hai
Btana hai tmhe ,dikhana hai tmhe.
tmhre khande pe rakh ke sir apna
Apne ap ko mehfuz hu, khud ko yaakin dilna hai
Ana kabhi fursat me
Tumko tumhi se milnava hai.-
Man pareshan manzil ko dhundhne chala...
Kuch khayal to kuch sawal ko sametate chala...
Bhuji ankho se khushiyo ko dhundhte chala...
Khawishko ki fir ek tasvir ko banate chala...
Man pareshan manzil ko dhundhne chala..
Sitaro ki bheedh me chand ko chumne chala..
Zindagi ki daudh me khud ko chupate chala...
Muskura kar sawalo ke jawab dete chala...
Tootati hue ummedo ko bandhate chala...
Man pareshan manzil lo dhundhne chala..
-
tu jo kahe to tujhe ek baat bta du..
teri hassi ki har raat nazar utar du
teri khamosi ko chutikiyo me ghumma du
teri dard ko jhaat se mita du
tu jo kahe to tujhe ek bat bta du
tere liye m itni layak ho jau
terebina kuch bole m tujhe samajh jau
tere liye mai to ab jaan bhi luta du❤❤
-
Mera sab bura bhi kahna par accha bhi sab batana,
Mai jab jau is duniya se to meri dastaan sunana.
Ye bhi batana ki kaise samundar jeetne se phle mai hazaaro baar choti choti nadiyo se hara tha.
Wo ghar wo zameen dikhana,koi magroor jo khe to shuruwat meri jarur batana.
Batana safar ki dushwariya meri, taki koi jo meri jaisi zameen se aaye,
uske liye nadi ki jhaar humesha choti hi rahe aur samunder jitne khwab unki aankho se kabhi jaye nhi.
Par unse meri galtiya bhi mat chupana, koi puche to bta dena ki kis darje ka nakara tha mai.
Kah dena jhootha tha main,batana kaise jaroorat pe kaam na aa saka ,vaade to kiye par nibha na saka;
intekaam saare pure kiye par kuch ishq adhure rahne diye.
Bta dena sabko ki main matlabi bada tha, har bade makaam pe tanha hi khada tha.
Mera sab bura bhi kahna, accha bhi sab btana;
Main jab jau is duniya se to meri dastaan sunana.
-
ik noor tha jo dhaal gya..
ik khaab tha jo bhikhar gya...
ik gunj thi jo simat gyi ..
ik pal tha jo bit gya...
ik hassi thi jo daab gyi..
ik pyar tha jo mar gya..-
cycle ke pahiyo ki tarah chal rhi zindagi
jo kabhi unhi pahiyo se khel khela krte the
aj ujlhe hai zindagi inhi paiso ki gintiyo me,
jo kabhi taro ki ghintiyo me kho jaya krte the
chaar kamro me bandhe hai aj
jo kabhi khule maidano me ghanto khela krte the
din bhar ki thakan aur fir bhi neend na ana
jo phle ma ki thapki se he so jaya krte the
aaj thodi der light jane se chatpata jana
jo ghanto light na ane ke bhane se der thak dosto se gappe ladate the
bacpan me chote se bade hone ke sapne dekha krte the
par sach to ye hai ki dil to ab bas,
fir se bachpan jeena chahta hai-
tu mandir mandir ky bhatke
tere maat pita he ishwar hai
tu jo hai unke karad hai
vo he sachhe parmeshwar hai-