Mohd. Tauseef   (M.Tauseef)
18 Followers · 1 Following

I like and believe in simplicity
Joined 2 April 2020


I like and believe in simplicity
Joined 2 April 2020
30 MAR AT 18:53

Keh to labon se chumun tere haath,
Keh to main jag ghumun tere saath,,
Ki ab to ruk nahin sakte beech majhdhaar,
Keh to is pyar ke bhawar mein jhumoon tere saath.

-


28 MAR AT 19:10

Qaayeil ho tum humare ye sar-e-aam kahte q nahin,
Itrate ho tum hum par to humse baat karte q nahin,,
Karna hai to kar lo iqraar is baat ka,
Sar-e-aam karna hai tumhein par tum karte hi nahin.

-


18 MAR AT 18:12

Keh do ki ye qirdaar,iqraar,karaar,nek-shi’aar,ek dikhawa tha,
Keh do ki ye pyaar,wyaar,ishq,wishq humse ek chalawa tha.

-


16 MAR AT 22:06

Rukh to badla tera par tera qirdaar na badla,
Badal gayi har ek cheez par mera zawal na badla.

-


15 MAR AT 22:27

Na kar gairon pe aitbaar tu pachtayega,
Tu kahin na kahin mujhe hi galat thahrayega,,
Tumhe gar yakeen ho un afwaahon par,
To yaad rakh humara rishta unhi afwaahon me khaaq ho jayega.

-


2 MAR AT 17:55

Raat meri guzarti hi nahi unki yaadon ke bina,
Aur ek wo hain jo arshe guzaar gaye chnd lamhon ki tarah.

-


27 FEB AT 14:50

Shaam hui hai raat bhi hogi,
Fir tujhse khwabon me mulakaat bhi hogi,,
Na mil saka main tujhse hayat-e-zindagi mein to kya,
Mulaakaat tujhse hashr ke maidaan me hogi.

-


16 FEB AT 18:14

Bhula diya hai tune aur tujhe malal hi nahin,
Kayi dino se mujhe khud ka khayal hi nahin,,
Na jaane kis gali koochon me fir rahe hain hum,
Aur tum kahte ho tumhe mohabbat ka karaar hi nahin.

-


15 FEB AT 19:00

Na aaye chain raat bhar kyun,humein ye kya hua?
Ab ye na kehna ki kisi ne mera dil churaya hai.

-


13 FEB AT 19:11

Roz ba roz unki gali aane jaane se kya hota hai,
Ishq me idhar udhar bhatak jane se kya hota hai,,
Log kehte hain ki hum qaayeil hain tumhare ishq ke,
To aakhir hum sochte hain ki ye ishq kya hota hai.?

-


Fetching Mohd. Tauseef Quotes