Khas kya hai
Kuch bhi tow nahi...
Jo socho, tow zamana soch daal
Na socho, tow nishaan bhi nahi
Tu chahe tow sambhal ja zara
Barbad hone ko puri umar hai padi
Karta katra karke dil ko bhar dia
Kyun phir kahta hai ye aafat badi
Na tu aaina na mai aksh hun
Na tu sarphira na mai wo shaqsh hun
Teri bandishe hi tera taboot hai
Tu hi tujhme hai, tera wajood hai
Iss dard ko, tu dil se nikal de
Kyun ki fikr ko hi teri fikr hai badi
Maine kaha tha na.
Khas kya hai
Kuch bhi tow nahi...-
Sooraj dhala meri zindagi ka
Tow ye samjh aaya
Chand ko nazarandaz karna
Tha bahut mahnga
-
Mai khawab Sare tod lun
Jo khawab tere sath ho
Kisso me zindagi ki qalam se
Tere khawab wale kisse jod dun
-
Rakam khatam tow safar shuru
Zindagi se hua yun rubaru
Zebein khali tow kya krun
Zindagi ke pehluon sa khamosh kyun
Darbadar aur hardafa
Mai hi kyun khamos rahun
Ye dil mera kachota
Karun bayaa ya na karun
Safar me hai muskilein
Ya muskilon me hai mera safar
Aye Rub bta mai kya krun?
Teri rzaa mai wo krun
Ya dil jo chahe wo krun
Khabar khabar me bekhabar
Teri dar pe hun mai darbadar
Dili sukun nahi mila
Aahista Aahista yun kyun marun
Aye Rub.....
Bta mai kya krun????-
Tarkash me teer maine bhi sambhal rkhe hai
Jang a lood khayal paal rkhe hai
Kamzor mat samjhna aye duniya waalo
Maine bahut se paiytre paal rkhe hai
Wqt pe tah ba tah khul jaayenge
Hm bhi ek din muqamal ho jaayenge-
Khurachkar tamannaow ke badal ko
Rahat ki chaawon payi hai
Bahut sahma hai dil apna
Ajeeb si khamoshi chaayi hai
Mai dil hi dil me bhar gya hun
Phir bhi chehre pe sikan na aayi hai-
Darbadar, har taraf ki fiqro gaur
Aa chale phir se bachpan ki yaadon ki oor
Jahan na fiqar thi, na koi aas thi
Uss wqt zindagi kitni khas thi
Kilaune tut te the, dil na tut te the
Na samjh thi, na koi zindagi ka shoor
Aa phir se pachpan me yaad kren
Apne masoom bachpan ka daur-
Tasalli phir se dil ko de
Chalo ek khawab bunte hai
Thakawat hai bahut lekin
Chalo phir shuruaat krte hai
Hai haq mera yaa nahaq ho
Hme usse kya lena hai
Chalo kore se kagaz pe
Apne alfaaz likhte hai
Bahut lambi ye koshis hai
Chalo phir se sambhalte hai
Hai dil me jo wo rahne do
Chalo itihaas likhte hai
Ahsaas ki syaahi se
Chalo jazbaat likhte hai
Na mai kahu, tum sun lena
Chalo halaat likhte hai
Tasalli phir se dil ko de
Chalo ek khawab bunte hai-
Tassali tasalli kahte kahte
Wo bechain kr gya
Wo na tha tow bechaini me bhi itminaan tha-
Chal pada hun
Na manzil ka pta hai
Na raaho ka thikana
Bas aas hai dil
Ki khwahishon ko hai pana
Umeed liye dil me, meri chahat hai
Choti choti koshis krte jana
Haan nahi bada hai mera oohda
Par har haal me mujhemanzilo ko paana
Jisko jo kahna hai kahe
Mujhe abhi bahut hi door hai jana
Dhup bhari dhupahri ho
Ya badlo ke saayon ka zamana
Lakh koshish kar le zamana
Mujhe asan nahi hai haraana
Ye mai gurur se nahi faqr se kahta hun
Mai na samjh aaun tow koshis mt karna
Aur samjh aa jaun tow
Bhool mujhe tm mat jana-