Bahut kuchh paya hai maine bahut kuchh khone ke baad,
Haath fir bhi khaali hain mere bahut kuchh paane ke baad,
Jo dekhta hu mudkar peeche to bahut the mere saath,
Aaj dekhta hu paas apne to koi nahi hai mere saath,
Kisi se kya karein shikayat khud ki lagaayi ummeed tut jaane ke bad,
Zindagi bhar sath nahi to na sahi,
Mitti to qabr pe daalte jaana meri maut aane ke baad.-
Main de to du shikast use,
Par uski haar mujhe manzoor nahi,
Agar sath nahi wo mere,
To uske bin main kuchh nahi mera jahaan kuchh nahi.-
Jo tumhein gum dekar bhul gaya,
Tum usse gum lekar khush ho jaao,
Ab wo gaya to chala gaya,
Ab tum bhi aage badh jaao.
-
Zindagi jeena agar chahta hai to muskurana seekh,
Muskurana agar chahta hai to zindagi jeena seekh,
Hath agar khali hain tere to fikr na kar,
Tu fikr ke sath us Khuda se maangna seekh,
Khushiyaan agar chahta hai to sabr karna seekh,
Sabr agar chahta hai to Khuda ka shukr ada karna seekh.-
Main hawa hi sahi, kuchh logon ki saans me to hun.
Main sookha gulaab hi sahi, kuchh logon ki kitaab me to hun.
Main thora pagal hi sahi, kuchh logon ki hansi me to hun.
Main sookha darakht hi sahi, kuchh logon ki tasveer me to hun.
Main galat hi sahi, kuchh logon ke zikr me to hun.
Main akela hi sahi, lekin main khud me to hun.-
Kal kiya tha jo waada usne,
Hum to aaj bhi us par yaqeen kiye jaa rahein hain.
Kal tha hume intezaar uska,
Hum to aaj bhi usi ka intezaar kiye jaa rahein hain.
Kal Jo ishq mohabbat ki baat hum karte the unse,
Hum to aaj bhi wahi baat khud se kiye jaa rhein hain.
Humein nahi kuchh khabar aane wale kal ki,
Hum to aaye hue aaj me jiye jaa rahein hain.
Wo aaj bhi basta hai mujhme,
Ye baat hum dil ko samjhaaye jaa rhein hain.
-
Jise har baar mujhme khamiyaan nazar aayi,
Achaa samjhta tha use,
Ye achhai use meri nazar nahi aayi.-
Wo jo pighal jate hain jhoothhi taareefon se,
Qirdaar unke bhi jhoothhe nazar aate hain.
Zara si kami kya bataayi unki janab,
Aag ki tarah wo bhi ubal jaate hain.-
Main Jo bin bole jaan leta tha haal-e-dil uska,
Galti itni thi ki haal-e-dimag uska padh na saka.-
Aasmaan ki garajti awaaz mein tum ho,
Aasmaan ki chamakti roshni me tum ho,
Aasmaan se barasti baarish mein tum ho,
Mitti se aati khushbu mein tum ho,
Khilte hue phoolon ke rangon me tum ho,
Raaton ki thandi fizaaon mein tum ho,
Door rehkar bhi mere khayaalon me tum ho,
Ab mujhse zada mujhme tum ho.
-