Zindagi Ke Iss Aayine Mein,Meri Tasveer Tum hi Ho.
Sari Umr Jiske Sath Bitana Hai, Woh Humsafar Tum hi Ho
Raaste Kitne Mein Bhi Mushkil Ho, Meri Manzil Tum hi Ho.
Manga Hai Tuje Har Dua Mein, Saathi Jannat Ka Tum hi Ho.
-
Bada Bechain Gul Hun Mein,
Chaman Mein Rahe Nahi Sakta,
Meri Maheki Nazakat Ko,
Kahan Tak Aap Samjhengey.-
Ek Hassan Hai, Ek Hussain Hai.
Dono Hai Zahara Ke Chain.
Pyaare Nabi Ke Nawase Hai,
Unko Jaanse Pyaare Hai.
Unke Baba Haq Ke Wali,
Kehte Hai Sab Unko Ali,
Fatima Zahara Unki Maa,
Jinpe Sab Maaien Qurbaan.-
Iss Daur Ke Insaano Mein Wafa Dhoond Raha Hun Mein,
Bada Nadaan Hun Zaher Ke Seeshey Mein Dawa Dhoond Raha Hun Mein.-
Haath Mera Ho, Tasbeeh Tu Padhe.
Dua Meri Ho, Ameen Tu Kahe.
Ankh Meri Ho, Ashk Tere Bahe
Dil Mera Ho, Dhadkan Tu Bane.
Sar Mera Ho, Takiya Tu Bane.
Sunta Mein Rahun, Guftagu Tu Kare.
Neend Mein Karun, Sapne Tere Rahe,
Safar Joh Bhi Ho, Humsafar Tu Hi Rahe.-
Teri Mohabbat Hai Dil Mere,
Tera Hi Didaar Chahata Hun,
Teri Woh Aankhein Kabhi Na Nam Ho,
Tera Woh Muskurana Mujhe Pasand Hai..-
Izhaare Mohabbat Kabhi Hamse Karo Toh Sahi,
Hum Bhi Insan Hai Dhadak Tha Dil Bhi Hai.-
Bataun Tumhe Ek Nishaani Udaas Logon Ki?
Kabhi Gour Karna Yeh Hanste Bahut Hai.🤗-