Tu Aadaton Mey Hai Ab Meri,
Tujhe Dekhkar He Sukoon Miley,
Mai Tere He Daar Pey Hun Pada,
Teri Deed He Meri Shifaa Hai.-
YA ALI AL MADAAT,
HAQ HUSSAIN MOULA HUSSAIN
First Cryπ November 7th 19... read more
Tume Paaney Ka Hunaar Nahi,
Tume Paaney Ka Jigar To Hai,
Mey Tere Liye He Hun Bana,
Kya Tume Isska Gumaan Hai...!!!-
Aye Yaqoob(a.s) apke bachoon ney Ye Kaisa zulm kiya,
Muhammad(s.a.w) ki ummat par Na thoda rehem kiya,
Kufiyon ney jaisa rulaya tha Hum ko,
Yahoodiyon ney bhi kya kam sataya humko,
Padhi thi namaz Jo kabhi masjid e aqsa mey Nabi(s.a.w) ney,
Unki namaz ko bandh Kiya Aur hataya humko,
Palestine, Palestine na raha, Israel banaya usko,
Jo bhatak rahe they duniya bhar mey ghaddar, ab lakar basaya unko.
β % &Ab intezar hai unko Messiah ke aane ka,
Aakar duniya mey chaa jane ka,
Fitna O Fasad failane ka,
Aur saari duniya mey Qatl e aam machaney ka...
Par Ye bhulgaye ke,
Humne bi dekhi hain khilafatein kahi,
Rashida, Ummyya, Seljuk aur Osmaniya bi sahi,
Hum mey he hain Ali(a.s), bi Khaleed bi aur Ayyubi bhi, aur
Aane wale hain hum he mey Isa Aur Mehdi Bi...
Abhi to Bhaut kaam bakhi hai,
Aane wali Jung ka Intezam Bakhi hai...!!!
β % &-
Jhoom utha tha Arsh jab Allah ney Khud Ali ki Wiladat manai thi,
Hil gayi Saari kayenat Jab Duniya Ko Sher-e-Khuda Mila tha,
Aagai thi dararein Khud Kaabe ki deewaron mey Jab Kaabe ko Apna Ameer-e-Kabba Mila...!!! π-
Tera bhi Peer Khaibari
Mera Bhi Peer Khaibari
Ek Nara Madari Wa Ek Nara Qadri
Ab Sun Nara E Qalandari
Sawa Lakh Nare Panjatan Ke
Ek Naraa HAIDARII
YA ALI YA ALI β€οΈ-
Tamseel e Qadr e Akbar o Asghar hai Taziya,
Ek Yaadgaar e Aal e Payambar hai Taziya,
Pehra Bitha rakha hai, Umayya ki Nasal ney,
Fir bi Khuda ke Fazal sey Ghar Ghar hai Taziya β€-
Abbas ko Dekhkar Kehti Thi Fauj e Shaam,
Tevar Bata Rahe Hain Ye Beta Ali Ka Hai β€-
Hazar Dagh Ho Roushan Tumhare Maathe Par,
Baghair Ishq e Ali, Sajda Zameen ko Chubta Hai β€-
Mecca ki Fizaon ka Shukr guzar hun to,
Madine ki Galiyon mey Abi Giraftar hun,
Najaf ke Rouze sey thandi Hawa aarahi hai,
Karbala ki pyas mujhe Bularahi hai,
Baghdad ka Safar Bakhi hai Mera,
Aur Makanpur ki Mujhe Yaad aarahi hai...!!!β€
-