रेखाओं का खेल है मुकद्दर
रेखाओं से मात खा रहे हो
Kaifi Azmi-
Kabhi khud bhi dekh zameer apna
Kab talak dusro per ilzam lagayega-
Guzarne ko waqt sabhi hai tayyar yaha
Jo zindagi guzare wo humsafar talash kar-
Guzar gai hai jo raat to darna kaisa
Sahar ho gai hai har taraf ujala hai-
Yaha tohfo ki numayish kise chahiye
Hum muhabbat ko bechte nahi hai-
Mai manta hu ye teri daleel
Jo tune kirdar pe mere lagai hai
Mera daman to hai dagdar
Tu Zara apna daman sambhal-
Abhi is taraf na nigah kar
Mai gazal ki palkein sawar lu
mera lafz lafz ho aaina
Tujhe aaine mai utar lu-
Kabhi itni khushi hui na thi kisi ke ane ki
Aaj tere intezaar ne hame bekraar kar dia-
Yaha har kisi ka ek alag sa kirdar hai
Jo lag raha hai kinara vahi majhdhaar hai-
Ye mere khaab hai kisi ki jageer nahi
Meri marzi mai dekhu ise jaisa chahu-