Mohammad Future bureaucrat   (حارث)
22 Followers · 7 Following

Born to serve the nation
Joined 1 April 2020


Born to serve the nation
Joined 1 April 2020
21 JAN 2022 AT 22:40

In Zehrili fizaaon ko aazadi ki udaan na samajh حارث
Aandhi se pehle mausam sabko suhana lagta hai...

-


17 JAN 2022 AT 23:56

Badi anokhi ek beti ki kahani hai,
Thodi bholi, thodi sayaani hai,
Ek bandhan badal deta hai gharana tera
Ek pal me kaise badalti teri zindgaani hai..

-


1 JAN 2022 AT 1:01

Kuch bangaya, kuch bigad gaya,
Koi milgaya to koi bichadgaya,
Kuch gham tha to kuch khushiyan bhi thi
Dekhte hi dekhte ye saal bhi guzargaya.

-


29 DEC 2021 AT 23:23

Ek naye saal, nayi shuruaat ke iraade rakho,
Bure pal hi kyun, kuch achi yaadein rakho
Maqasid rakho, khwahishen rakho, faryaadein rakho,
Mohabbaton ke rishte nibhane ke waade rakho..
Ek naye saal, nayi shuruaat ke iraade rakho.


-


20 NOV 2021 AT 0:07

Mai ladka hun na, isiliye hamesha muskurata hun,
Ek baap hun, jo ghar ko thanda rakhne ke liye,Khud ko jalaata hun,
Apne zimmedaariyon ke khaatir har dard chupaata hun,
Maa baap ko ab sukoon dilaana chahta hun,
Ab unka beta bada hogaya ye yaqeen dilaana chahta hun,
Behen ki shaadi karwani hai, Bhai ko ache se padhana chahata hun,
Ek bhai hone ka pura farz nibhana chahta hun,
Biwi ko bachon ko ache se khilaana chahta hun,
Ek misaali shohor khud ko banana chahta hun,
Mai ladka hun na isiliye Hamesha muskuraata hun..

-


21 SEP 2021 AT 0:25

Kamyab to wo hai jo sab rakhte par,
dikhawa nahi karte,
Aur ghafil wo jo gunah karke bhi
Pachtawa nahi karte..

-


7 SEP 2021 AT 14:25

Unchayi tumhri khad se nahi ohde se naapi jaaye,
Itne kamyab bano k tum kalaam kaho to kitaabe chaapi jaaye..

-


28 AUG 2021 AT 20:47

Sawaal jo mann me, unko ulajhne na do,
apne andar ki aag ko kabhi bujh ne na do..

-


1 AUG 2021 AT 14:41

ʙᴀᴄʜᴘᴀɴ ᴋᴀ ᴅᴏsᴛᴀɴᴀ
Yaad hai mujhe wo bachpan ka dostaana,
Wo paani me kaaghaz ki kashti banaana,
Phir un kashtiyo ki daud lagaana,
Wo garmi ki chutti,patange udaana,
Wo kancho ke dabbe, wo lattu phiraana,
Phir sarma ke mausam me butte bhunaana,
Wo rassi ke jhulo me jhule jhulaana,
Na aayenge wo din phir ab zindagi me,
Laga hai jo ye zindagi ka fasaana,
Na wo nakhli noton ki daulat, na hai patharo ka khazaana,
Haan!
yaad hai mujhe wo bachpan ka dostaana..!!!

-


29 JUL 2021 AT 11:49

Kamil ul HAYA wal IMAAN hai wo,
Amn o insaaniyat ka paighaam hai wo
Jiski haya aur pardagi k charche aasmano me ho,
Hamara teesra khalifa, Hamara USMAN hai wo.. (Razi Allahu ta'aala anh)

-


Fetching Mohammad Future bureaucrat Quotes