Jo janti ki iss raah kaantey bahut hai, Chalti na ek paag bhi. Jo janti ki apna kehnye wala hi, gair hai, Saajha na karti ek eshaas bhi. Jo janti ki iss Dagaar ruswayian hai, Sunti na ek apney dil ki bhi.
Woh kya deta mujhe, jo apna waqt bhi na de paya mujhe. Woh kya sawarta mujhe, jo apni wafa se Saja bhi na paya mujhe. Woh kya thamta mujhe, jo wajha hai merye ladkhadney ki. Woh kya samjhta mujhe, jisey meri awaaz mein dard sunayi hi na diya kabhi. Woh kya pyaar karta mujhe, jo khudse jod hi na paya mujhe.
Mujhe ab Teri chahat ki chah banney ki koi chah hi nai.... Jaa tu gairon ke ashiyaane saaja, Mera andhera mujhe Mubarak. Mujhe ab Teri jhooti baaton ki chah hi nai, Jaa tu gairon ke jhoot ko sach samjh, Mera Sach mujhe Mubarak. Mujhe ab Terye adhurey se sath ki chah hi nai, Jaa tu gairon ka sath nibha, Mera akelapan mujhe Mubarak..........
Suno.... Intezaar ki Taapish, mujhe jalati hai. Sabar kuch pal ki thandak toh deta hai. Par adhurey sapney, mujhe chubhtey hai. Tum aao toh iss chubhan ka jawab ban ana, Jo waqt beet Gaya, uska jawab ban ana, Aur merye hisey ka haq, lay ana......