Galat ko galat na keh Sako
to kis baat ke insan ho
na haq pr khamosh ho
Kya itne tum naadan ho
Mana khuda sab dekh lega Roz-e-mhshar ko magar
Us roz-e-mehshr tum bhi dekhe jaoge
Ye Jaan lo-
M.Sc (chemistry)
love writing,reading, poetry, baking, decorative works,art works, t... read more
Mehsoos Karo agar zinda ho tum
Kyoki zaruri h mehsus Karna zinda rehne ke liye
Ki insan ho aur insaniyat Farz h tum pr
Khuda rehem karta h jese
Haan rehem Karna qarz h tum par
Wo Jo mar Gaya kon tha,wo Hindu tha ya musalman tha shayad
Kuchh to sharm Karo ye sochte ho gar
Kyoki Jo bhi tha wo ek insan tha shayad
Kisi ke beghar ho Jane se ya zulm aur zalim se Kisi masoom ke dar Jane se
Agar Khush ho Jate ho tum ya farq hi Nahi padhta tumko
To sharm Karo ki layak Nahi ho insan kehlane ke bhi tum
Ya shayad zameer dafan Kar chuke ho khud Ka bhale anjane me hi tum
Zara socho ki kon h Jo khush h gharo ko jala Kar bhi
Zara socho ki kon h insaniyat ko zinda dafna Kar bhi
Aur is baat pr gar baat aati h Mann me ki
Wo Hindu h ya musalman h
To sharm Karo kyoki wo aur koi Nahi tumhi me chhipa ek haiwaan h
Wo Jo behre Bane bethe h jinke kaano tak aawaz jati Nahi
Wo sab Kuchh karte Hain, aur unki rooh unse jhallati Nahi
Pr tum sun sakte ho kyoki zinda ho abhi
Kya ye chikhain ye viraane ki khamoshiya Dil ko tumhare dehlati Nahi
Kya zalim itna mazboot h ki aankhain band Kar Di Hain tumhari
Kabhi mazhab to Kabhi Kisi aur naam se
Sach pehchanne ki taqat khatm Kar Di h tumhari-
Use kamzor mat aanko, wo chattano ke jesi hai
Ki aurat uth khadi Hoti h to Taarikh likhti h
-
Nasamajh Hun na jane ya nadan Hun me
Jane kyo khud se hi Kuch pareshan hun me
Chain mil Kar bhi chain mujhko aata Nahi
Zindagi se na jane kyo anjan Hun me
-
Ye jahan kya dekhun
kyo dhundu me nazare
Khud mujhme mere jab
ek zamana basa h-
Ye Chand kya yun hi chamakta h tere sheher me bhi
Ya teri ek Nazar pa kr aur bhi haseen ho Jaya karta h.
Ye sard mausam kya wahan bhi kisi ki yad dilata h
Ya tere hone ke ahsaas se thodha muskura diya karta h.
Ye Chandni kya yun hi bikhri si rehti h tere aas pas bhi
Ya teri bahon me simat kr kuchh mukammal ho Jaya Karti h.
Ye Khamoshiyan kya itni hi khamosh h tere hone per bhi
Ya teri dhadhkane sun kr kuchh gunguna diya Karti h.
Ye mahaul kya itna hi badrang sa h
Ya teri saanson ki khushbu se mehek Jaya karta h.
Aankhon ki chamak,Hontho ki muskurahat,Chehre ka Noor
Kya tera bhi gayab h kisi ke na hone se
Ya sirf me hi Hun jise tu yad aata h
Bohot shiddat se yad aata.
Is chalte hue waqt me kabhi kuchh der ruk kr Zara sunne ki koshish karna meri tanhaiyo Ko
Her ek lamhe Ko khud ka Naam pukaarte hue paoge.
Kya me bhi tere Dil ke kisi kone me kuchh is tarah maujood Hun ?-
Chup ho gae ho jab se tum
Ab khud se bhi meri bat nahi Hoti
Sawera hota h tanhaiyo ke saath
Magar in Khamoshiyo ki ab rat nahi Hoti
Wo has ke phoolon sa khil jana mera
muskurahato se ab meri mulakat nahi Hoti
Me fanaa bhi kr dun khud Ko fir bhi
Jo Dil me h wo khatm teri yad nahi Hoti
Door ho kr bhi meri nas nas me Zinda h tu
Ki dooriyo se mohobbat kabhi naasaz nahi Hoti
Laut aao na taras gaya h Dil tumhe phir se sunne Ko
Laut aao ki hamse ab fariyad nahi hote-
Meri tujhse guzarish h
Ki bas itni si khwahish h
Nazar ek aakhri de de
Mile khud se jo manzoori
Ho sake to aana kabhi Dil me
Zara Didar kr lenge
Shikayat na karenge hum
Bas nigahon se pyar kr lenge-
Nahi h shauq mujhko me
Kisi ka na-mukammal ishq ban jau
Na Aashiq chahiye mujhko
Na chahat chahiye mujhko
Agar Jo de Sako tum kuchh
To izzat chahiye mujhko
Ye jismani mohobbat
Mujhko gawaara h nahi hargiz
Wo roohani si Chahat hi
Bs is Dil ki h ek khwahish
Mahine, sal, ya hafte
Chale jo ishq tum rakkho
Rahe jo bad marne tk
Wo mohobbat chahiye mujhko
H khwahish Shaqs ek bas jo
rooh-e-izzat Maan le mujhko
Mera wo hath pakdhe Yun
Ki Bahisht Tk thaam le mujhko-