Kuch likhun ya nhi
Kuch kahun ya nhi
Khamosh rahun ya khamosh hi ho jaun
Tujhe apna kahun ya tujhmein gum ho jaun
Tujhmein hi mai aaj kal rehne lagi hun
Khudko tera bas tera kehne lagi hun
Log puchte hai meri bevajah si muskaan ki vajah
Vajah likh dun tujhe ya nazren chura lun
Baatein bahut hai or kuch bhi nahi hai
Kyuki tere bina hona ’ hona hi nahi hai-
Ek pal mai apne ban jata hai koi
Bina Kuch kahe hi samjh jata hai koi
Khushiyon mai to shaamil har koi hota hai
Lekin taklif mai saath anshu bahata hai koi
Jab koi raah _e_manzil talaash karti hun
To raste mai apna aqsh banata hai koi
Jab thak kar beth jati hun udaas kabhi
To meri taraf haath bhadata hai koi
Jab bhi uthti hai nazar buri zamane ki mujh par
To dhaal ban un nazron ko jhukata hai koi
Bina Kuch kahe hi samjh jata hai koi-
Waqt gujar jata hai yuhi tanha
Kabhi baatein khudse ho jati hai
To kabhi talashte hai khudko bhi
Kabhi yaadein khushiyaan de jati hai
Kabhi bikher deti hai duniya
Kabhi muskurati hun khud hi
To kabhi tanhai mai dhundti hun tujhko bhi
-
Kon kehta hai teri yaad se bekhabar hun mai
Meri raaton se puch jo tere bina gujarti hi nhi
Maine ek umar jeene ka wada kiya tha khud se kabhi
Kambakht tere bina ye shaame dalti hi nhi
Tumhe lgata hoga mai khush hun zindagi mai apni
Aakar zara puch mere dil se ki tere bin dhadkan dhadkati hi nhi-
kamal karte ho
esi jagah sukoon dhund
rahe ho
jahan Allah ne
adam (A.S) ko saza ke liye bejha
-
Ek sukoon sa milta hai
Jab jab tumse baat hoti hai
Din gujar jata hai yaadon mai teri
Dil khush ho uthta hai jab jab raat hoti hai-
Yaad aati hai woh baatein teri
Mere rone par bhar aati thi ankhein teri
Koi agar kare pareshaan mujhe to Tu baras jata tha
Tere mere saath hone se mujhe fir koi na satata tha
Meri preshani tujhe bda satati thi
Mere jhute anshu dekh kar bhi ankhein teri jhalak jati thi
Meri har taklif ke aage tu khada ho jata tha
Mere har dukh se tu takarata tha
Kaha gayi Woh mohabbat teri
Kaha gyi mujhse pyar ki shiddat teri
-
Kaash ke mohabbat maa ne karna shikhayi hoti
Kabhi kisi ke sath bewafaai na hoti
Mil jata sabko woh shakhs jise woh chahe
Mohabbat ke naam par is tarah judaai na hoti
Na dekhta koi ameeri gareebi na hi dekhta koi chehre ki khubsurti
Toh ishq ki galiyon mai mohabbat_e_rusvai na hoti
Samjhte ek dusre ke jazbaat sabhi log
Toh sayad jabardasti izzat ki kasamon par kisi ki vidaai na hoti
Charon taraf mehakti mukammal ishq ki khushboo
Fir kabhi kisi ki mohabbat ki mayyat uthai na hoti-