Paid Content
-
Darwaaza mohabbat ka khula rakhna
Mere rab mujhe khud se kabhi door na karna
Di hai maine Qurbaani apni zindagi ki tu behtar jaane waala hai
Tu mujhko hamesha tujh se razamand rakhna
Band chaahe ho jaaye duniya ke sabhi dar
Mere jigar ko tu apne liye fikrmand rakhna
Teri mohabbat bhari nazar se he ho sakta hai mujhe faiz
Bas mere Rab
Darwaaza Mohabbat ka Khula rakhna-
Khud main raunak se sarfaraz yeh din hai
Adhoora yeh din Ramadan ke bin hai,
Muqammal Tees Roze kar dete hai muslim se momin
Har momin ke liye khaas yeh eid ka din hai
خود میں رونک سے سرفراز یہ عید کا دن ہے
ادھورا یہ دن رمضان کے بن ہے،
مکمل تیس روزے کر دیتے ہیں مسلم سے مومن
ہر مومن کے لیے خاص یہ عید کا دین ہے
-
Saaf kyu nahi kehti mohabbat hai mujhse,
yeh haqeeqat maine bhi tumse chupai hain
saath main guzaar sake hum behetreen pal
Maine pehle se he hamare iss chote se ghar main apni choti si duniya sajaai hain-
Iss sard mausam main Ishq karne ko jee chahta hain,
Ishq saccha ho toh maut ka naam sunkar lutf aata hain
Mehbooba ko baahon main lete hue ho jaati hain, tamaam takleefe door
Yeh lutf har insaan ko bhala kab samajh aata hain
اس صرد موسم میں عشق کرنے کو جی چاہتا ہے
عشق سچا ہو تو موت کا نام سن کر
بھی لطف آتا ہے،
محبوبہ کو باہوں میں لیتے ہوئے ہو
جاتی ہے تمام تکلیفیں دور
یہ لطف ہر انسان کو بھلا کب سمجھ آتا ہے
-
Ajeeb soch ke yeh log mulq main,
Karte jo bhadde troll hain;
Nahi hain lihaaz jinhe kisi rishte ka,
Woh phailaate inn fizaao main HINDU-MUSLIM ka zehar hain
عجیب سوچ کے یہ لوگ ملک میں،
کرتے جو بھدے ٹرول ہے؛
نہیں ہے لہاز جنہیں کسی رشتے کا،
وہ پھیلاتے ان فزاوں میں ہندو۔مسلم کا زہر ہے۔
-
Iss chand ke laakhon deewano ne.
Chand par bhi gahan laga rakha hain-