Katra katra tere ishq Maine dooboo lahu ki Tarah
Aks Banu tere aankhon kaa aansuon ki Tarah
Chal ijaazat do ab tumhe paane ki
Ghar banu tere khawabon kaa banjaaron ki Tarah-
Zindagi ka har mausam rawaan hone lage bina kisi adawat ke
Toh samajh Jaana tum yaaron ke saath ho ..
Zindagi ka har safar mukamal hone lage
Tooti kashti maine bhi
Toh samajh lena tumhari yaari sabse nyari hai-
Kaise batau ye pyaar kya hai
Do -chaar ghadi ki chahaat aur phir bekaraari hai
Kaise batau ye mohaabat kya hai
Ek-do pal ki jeet aur phir haar karaari hai
Kaise batau ye ishq kya hai
Mukkamal sajde ki naakaam dua hai-
Ab naino ko naadaani ka nasha hua hai
Samundar jitne aansu samajhdari ke hawaale hue hai
Bebaaki aksar bedardi Laati hai
Zikr karu dil ka toh zehmat saamne aati hai-
Shiddat se safar chal raha hai
Behrupiyon ka bazaar shor kar raha hai
Tum bhi paheli maine rehna seekh lo
Yahaan bin bole koi dil se zor kar raha hai-
Akashganga maine jaise poora sormandal samaaya hai
Tera pyaar mere dil maine utna samaaya hai
Brahmand dheere dheere aage bad raha hai
Tere ishq main mann mera dol raha hai-
Tere hasrat ko har lamha savaarun
Tere khwaab ko tere sang nihaarun
Tu naa keh de toh bhi tujhe chaahun
Taqdeer ke iss safar maine tujhe paaun-
Be-shaq woh brahmit hai tujhe dekh kar
Aisi kaarigari nahi thi uske haath maine
Solah suraj ki roshni bhi sharma gayi
Itne haseen chehre ko dekh kar ..-
Uljhon se bhari ek dheemi si muskaan hai tu
Dhoop Main giri hui barkha si roshandaan hai tu
Behti hawaa ke sang aayi hui kushboo si pehchaan hai tu
Chehre ki taarif ab naa kare kushiyon kaa poora aasmaan hai tu-
Saadgi aur sanjidgi kaa khazaana ho tum
Magh ki shaam ka khushnumsa mausam ho tum
Do harf bhi kum pad jaaye tumhare taarif maine ...
Sard raat maine taaron se bharaa hua aasmaan ho tum-