Na rukta hu na Thakta hu main
Na kisi ke age jhukta hu main
Mohbbat hai muje is dharti ma se
Isliye apni ma ko dharti ma se sanman karta hu
Apni Jaan ki parva kare bina desh pe kurban karta hu.
Pyar muje bhi hota hai dard Muje bhi hota hai
Bhuk aur pyas muje bhi lagti hai
Par kya karu jab is desh ki raksha pe ungli uthti hai to sab piche chod deta hu
Na jhukta hu na jhuk ne deta hu
Chahe aasman ho ya jamin ya phir ho koi samandar
Bas desh ki seva k liye Udta rehta hu
#forourarmynavyandairfoces
#jaihind-
Ishq dosti bhi hai
Aur kabhi kabhi dushmani ki vaja bhi
Ishq kabhi Massom hai
To kabhi hai kamina
Ishq kabhi junoon hai
to kabhi hai sufiyana
Ishq sacha bhi hai
Or Accha bhi hai
Ishq ibadat hai
To kabhi kiski aayat bhi
Ishq ka rang kabhi lal hai
To kabhi beshram
Ishq hai to sab kuch hai
Ishq nai to kuch bhi nahi
Ishq k bina na ji sakte jai
Aur na hi mar sakte hai..
Ishq hi Allah hai
Ishq hi bhagwan hai
Ishq me hi to insan ki asali pehchan hai-
Mohhobat zinda hai tab tak ye zindagi hai
Mohabbat pe tiki hai yeh duniya.
Nafrat ki yaha koi jaga nahi
Diye jalte hai dil me mohobbat ke
Mohobbat ki koi wajah nahi
Nafrat karne wale karte rahenge
Mohhobbat ki neev tiki rahegi
Mohhobbat zinda hai dil me tab tak ye zindagi chalti rahegi
-
Koi hamari kadar kare na kare hame sabki kadar karni chaiye
Koi hamari khabar puche ne puche
Hame sab ki khabar puchni chaiye
-
Dukh ane sukh jeevan na be bhag che
Kyarek dukh che to kyarek sukh
Koik ne potana dukh ape che to koi potane
Koi jode che to koi tode che
A ghor kalyug che
Jyan manvi laalach mate potana ne chode che
Lagni to prem no dariyo che je nirantar vehto rahe che
Prem j che je manvi ne dukh ane sukh na samay ma ek bija thi jode che.
Ishware banaveli a duniya manushya ne apelu vardan che
Jo a dharti par rehvu hoy to ek bija na sarthi bani ne rehvu ej prabhu nu man che.-
Nasha chae kisi ka bhi ho nasha to nasha hi hota hai
Nashe me na koi bhasha aur nai koi asha hai
Nasha chae acha ho ya bura nasha to nasha hai
Agar achi cheez ka nasha ho to insan safal hota hai
Par agar buri ka ho to har kadam par phisalta hai
Nasha ek junoon hai jo kuch kar jaye to ijjat deta hai
Aur agar buri lat me fasade to ijjat aur swaman guma deta hai
Nasha kisi ko accha hai to kisi ko bura
Nasha chae kisi ka bhi ho nasha to nasha hi hota hai.-
Akela aye the akele lot jayenge
Kya hisab us khushi aur gam ka
Jo khushi thi pal bhar ki aur gam bhi pal bhar ka
Duniya to chalti rahegi
Ham to duniya ko alvida kar jayenge
Nafrat to hai duniya me ab har jaga
Ham pyar karte hai sab se aur pyar karte karte hi chale jayenge
Kya mera kya tera
Jo hai woh sab hai us rab ka
Rab ne hi bheja tha
Rab ke pass hi chale jayenge
Akele hi aye the akele lot jayenge-
Dilo ka dard aj labzo pe cha raha hai
Likhti hi ja rahi hai ye kalam
Jo is dil pe marahm laga raha hai
Kehte hai ki dard batne se badhta hai
Lekin agar dard se bahre labz kitabon me ajaye to mehfil me kuch alag mahol banta hai.-
Tuhi meri mohbat ki kalam hai jise me kavitae likhta hu
Tere pyar ke samandar me
Lehro ki tara behta hu
Andhi aye ya aye tufan
Tere pyar ki takat hai itni
Chatano ki tarah le
Me us tufan se ladta hu
Tu meri mohbat ki woh kalam hai jise me kavita e likhta hu
-
Khud se agar azad ho to zinda ho tum
Lehre to ati rehti hai zindagi me
Un lehro me behna jante ho to zinda ho tum
Nakamyabi to hai har kadam par yahan
Nakamyabi se kamyab hote ho to zinda ho tum
Khud hi khud ko jano
Aur khud se hi khud ko samajte ho to zinda ho tum
Khud ke liye jeekar bhi dusro ke liye jeete ho to zinda ho tum
Azad panchi ki tara udte raho aasman me
Khud se agar azad ho to zinda ho tum-