Tumhari in palko mein aksar kho jata hu, Tumhari in palko mein aksar kho jata hu, Aur sochta hu kya yeh kaafi h In khoobsurat nigaahon ko chupane ke liye
Kuch khatt tumhare naam, tumhari us muskurahat ke naam, tumhari un meethi baaton ke naam, aur aksar un aankho ke naam jo aksar kayi sawal liye bethe hai ki is dil mein tumhara hai kya naam.
Raaton ki khaamoshiyo ko khaamosh hi rehne do, Inmein shupe shorr ko khaamosh hi rehne do, Bayan kr na pao aisi mohobat ka b kya krna, Akeli raaton mein jugnuo ko satao toh aisi baaton ka b kya krna.