Take me
To that place
Where cool winds
Would blow at my face
Even as I look pretty
In a hair band made of lace
Take me
To that place
Where I could feel you
Without touching you
Where my soul could find you
Where I could see you
Speak to me with your eyes
Take me
To that place
Where it seems like
The world never ends
Make me feel
That the life never ends
It goes on in waves
Of happiness and sadness
And at the end of tunnel
A light of hope paves
Take me there
Where I can feel me
And I can test
The energy in me
I could find my spirit
I could know
The particles I am made of
I could know
The strength I have in me
Take me
To that place
Where my soul meets my body
And transcends me to a fairyland
Even if it is for little time
For I know that it is the precious seconds
That make up life
And not life
That makes up seconds.— % &-
That photo of mine captured something I am not.
I am not the one, who smiles at the click of a camera.
I am natural and candid photos speak a lot for me...— % &-
Apology
Apologies for the times when the heart asked for something that the mind couldn't justify...— % &-
Every hindrance paves the way for a new beginning...
You only have to believe in yourself through the journey of life...— % &-
Seems like a creative mind is superactive during sleep. Sleeping feels like complete waste of time to an artist.— % &
-
Bharat ka sapna
Hai ki har koyi lage apna
Na rahe koyi bhed bhaav
Na rahe koyi unch neech
Ek Suraj, ek hi ho sabka pehchaan
Sabka ho sammaan, sabki ho unchi shaan
Baal bacho ka ho vikaas
Band ho baal taskari aur Baal shram
Bacho ka padhne likhne pe ho zor
Unnati ki aur badhe kadam
Bacho ki soch, unke khayaal ka ho nirmaan
Bacho se bharat ko mile nayi pehchaan
Garibi ho Kam, ameeri pe ho laagaam
Sab log aage aaye, sabka ho naam
Uttar se dakshin tak Bharat ka ho jai jai kaar
Paschim se purv Tak khushiyon ki ho bauchaar
Ek desh, ek ho aawaaz
Ek chaah, sabke upar rahe vishwaas
Bharat milaaye duniya se kadam
Vikaas ho har shetra mein
Kheti, vigyaan, hathiyaar, shastra
Sabmein ho bharat ki pehchaan
Bharat se Made In India ka ho vyaapaar
Duniya mein ho bharat ka smaran
Bharat ke sabhyata duniya bhar mein chaaye
Gende ke phool se duniya saje
Holi ke rang, patang ke sang manaaye duniya tyohaar
Miss World, Miss Universe kare bharat ka uncha naam
Duniya seekhe bharat se vividhta mein ekta
Ek sang badhe aadarniya Modi aur duniya ke kadam
Kachra dur ho, swachta pe ho dhyaan
Har koyi kahe bharat hai apna
Yahi hai bharat ka sapna
— % &-
Arey tereko maalum
Na malum na salum
Hum bolte abhi suno
Hyderabadiyon ka kissa
Sune toh bas, hojaate hamaara hissa
Apan ki jaan Biryani mein basti
Rogan Josh, Nalli Nihari mein hamaari hasti
Charminar Hyderabad ki shaan
Urdu apni mohalle ki jaan
Khaali aise waise baigan ki baataan nai karte apun
Shaayar hai, dil chura lete apun
Dikhne mein sakth, par dil hai naram
Har waqt sunaate koi naya kissa garam garam
Dil pe bas yuhi cha jaate apun
Ek baar milne ke baad, yaad aate rahte apun
Hamaari baataan tumko hasaate
Yahi hai hamaari pehchaan
Dil kya, jaan lutadete apun
Aap bas humpe bharosa kare toh
Achi dosti kis cheez ko bolte dikhaate apun-
Wakt Se Seekhe
Waise toh mann bahut chanchal hai
Kabhi ye chaahta kabhi woh
Kaise koyi ek kaam puri shradha se kare?
Wakt se seekhe, waqt hamesha ek samay dikhaata hai
Chaahe kuch bhi hojaaye, wakt nahi thamta
Wakt hamesha ek raftaar se chalta hai
Mann ko wakt ki tarah sthir banaaye
Chanchal mann ko shaant aur khush kijiye
Jab koyi mushkil aaye, jab mann bhaari ho jaaye
Wakt ki tarah ek disha mein chaliye
Seedhe chaliye, mat dagmagaayiye
Shaant rahe, mann ko aashwaasan de
Aur manzil pe dhyaan de
Raah khud nazar aa jaayegi
Mushkil aasaan lagegi
Aur jeet aapki hogi
Zindagi mein chahal pahal zaruri hai
Iskeliye zyaada dost na banaaye
Jaise ghadi ko teen kaanto hi zarurat hai
Bas aap bhi kuch hi dost banaaye
Kuch logon ko khush karna aasaan hai
Aapke karib sab khush ho toh aap khush
Itna hi aasaan hai zindagi mein khushi banaaye rakhna
Jab aap koyi buraayi dekhe
Toh jaise ghadi ek sheeshe mein khud ko dhak leta hai
Usi tarah aap khud ko dhakle
Buraayi, nafrat se bach kar rahe
Andheri aapko kheenchegi
Par roshni ki taraf chalte rahe
Khushaali, prem aur unnati se gale milaaye
Aur ghadi ki tarah aap sabke maargdarshak bane.-
Ae Mann Tu Kyun Chonk Jaata Hai
Ae mann tu kyun chonk jaata hai
Dher saari hasi, dher saari khushi milne par
Tu kyun jhoom uthta hai
Zindagi jaise ek shaant jheel thi
Jab kuch lehre judti hai
Toh tu kyun khil uth jaata hai
Ae mann tu kyun chonk jaata hai
Kuch din ka maahol hai ye
Jab ghar bhar mehmaan aate hai
Ae mann, tu kaise inhe chutkiyon mein apna banaata hai
Ae mann tu kyun chonk jaata hai
Ghar mein goonjti hasi
Bacho ki khushi
Tu kyun itna chaahta hai
Ae mann tu kyun chonk jaata hai
Rango se bhari ye duniya
Jab aapko gale lagaati hai
Ek nayi duniya, kuch naye rishte tu sajaata hai
Ae mann tu kyun chonk jaata hai
Zindagi kehti hai ki har pal aisi hi rahe
Itni saari khushiyaan hamesha ke liye tu kyun chaahta hai
Ae mann tu kyun chonk jaata hai
-