Megha Goswami   (Megha_goswami1308)
41 Followers · 10 Following

Joined 2 November 2017


Joined 2 November 2017
4 MAR 2021 AT 22:05

zindagi to har ek ki hoti hai.....par mazaa zindagi ko khubsurat banaake jeene mein hai.
Pyaar to har ek hota hai ....par mazaa pyaar ko ibaadat banaake rakhne mein hai.
Maa baap to har ek hote hai....par mazaa maa baap ko bhagvan banaake jeene mein hai .
Sapne to har kisi ke hote hai ...par mazaa sapno ko sach mein jeene mein hai .

-


16 NOV 2020 AT 22:37

Mat baandh waadon mein khudko itna ki tu khud hi khud ko bhool jaye ..

-


30 OCT 2020 AT 18:48

Saath naam k liye nhi haqkekat mei hona chahiye.
Rishta logon ke saamne na sahi pr apne mein toh hona chahiye.

-


30 OCT 2020 AT 17:21


FESTIVAL OF LIGHTS

क्या करू उस रोशनी का , जब तुझ बिन ज़िन्दगी में अंधेरा हैं ,
क्या करू उस मिठास का , जब तुम बिन ये दिल अधूरा हैं ।
यूं तो लोगों के सामने मुस्कुराती रहतीं हूं मैं ,
कुछ ऐसे ही गम छुपाती रहतीं हूं मैं,
तुझ बिन हूं मैं इतनी अधूरी ,
जितनी है , आसमान और ज़मीन में दूरी ।
कैसे समझाऊं अपने नादान दिल को ,
जो तड़पता है सिर्फ़ तुझसे मिलने को ,
कैसे बताऊं तुझे इस दिल की मजबूरी,
तेरे बिन मेरी हर खुशी है अधूरी ।
काश तू लौट आए जैसे आते है ये त्यौहार ,
तुझसे मिलने को मेरा दिल है बेकरार ।
तुझसे ही दिवाली ,तुझ संग ही होली,
पर ये पीर अपनी मैंने किसी से ना बोली ,
अपनी बेबसी तुझको कैसे समझाऊं ,
तुझ बिन मैं बस मरती जाऊ ।
क्या करू उस रोशनी का, जब तुझ बिन ज़िन्दगी में अंधेरा हैं,
क्या करू उस मिठास का,जब तुम बिन ये दिल अधूरा हैं।

-


29 OCT 2020 AT 22:20

Bhai ! Galatiyan bhot ki hai maine
Par
tujhe paraya smjhne ka gunaah kabhi nhi kiya....

-


29 OCT 2020 AT 20:23

थक गई हूं अब खुदको तुझसे दूर करते करते,
सोचती हूं अब खुदको ताउम्र तेरे नाम कर दू।

-


2 OCT 2020 AT 21:17

Logon ne sawal toh bhot kiye
Par ,jawab dene ka mauka kbhi nhi diya.

-


1 OCT 2020 AT 19:45

Kaise chupaun main usse apna dard,
Jise meri nighaein pdhne ki aadat ho...

-


30 SEP 2020 AT 20:55

AAKHIR LIKH HI DALA USNE APNA HAAL ...

Kya khoob likha tha usne apna haal,
Jaise uske mann mein mach raha ho koi bavaal,
Khoob chhupane chaahe usne apne jasbaat,
Par uske aasuon se bheegi, siyahi ne kehdi har ek baat ...
Likha toh khoob sanjho kar tha usne apna khayal,
Par uske shabdon ne , saaf byaan kiya uska haal
Kuch toh tuuta hua sa lag rha tha usme,
Khud hi khud se rootha hua sa lag rha tha usme
Shikayaten toh bhot krni chaahi uske dil ne,
Par mann ki maan kar, jaise taise chuppi lgai thi usne
Logon ke puuchne par bs hass jata tha voh,
Shayd isilye itna muskurata tha voh,
Jeene ki jaise aas hi khtm hogyi thi usme,
Aakhir zindagi ko chor khud hi maut chuni thi usne....

-


26 AUG 2020 AT 22:39

AB THAK GYI HU MAIN

Ab thak gyi hu main
Haan! Ab thak gyi hu main iss sb ladte-ladte,
Thak gyi hu main chlte-chlte ,
Thak gyi hu main aage badte -badte ,
Na jaane kaisi zindagi hai yeh ,
Na jaane kaisi yeh, kbhi na khtm hone wali ladai hai
Na jaane kaisi yeh duhaai hai
Ab thak gyi hu main,
Ab thak gyi hu main.

Kaash main kbhi badi na hoti,
Kaash main humesha choti rehti
Tab na koi dikhavat ki hassi hoti;
Tab na koi zindagi mein ghum hota;
Zindagi se bhi ek alag pyaar hota
Humme bhi khud pe etbaar hota
Par Ab thak gayi hu main,
Ab thak gyi hu main.

Laut aaye voh din ab bs kahi se,
Jisme na jaane kitne yaadein hai..
Laut aaye voh lamhein, jisme na jaane kitni khushiyaan hai,
Maa ke aanchal ke voh din ,
Pita ke laad ke voh din,
Choti si duniya ke chote spno ke voh din, kaash laut aaye
Phir se jee sku main unn dino ko kaash ,
Jisme har pal hoti thi ek nyi baat
Kaash voh mera Bachpan laut aaye ;
Kyuki ...ab thak gyi hu main,
Ab thak gayi hu main.

-


Fetching Megha Goswami Quotes