Kya Chup ke baith jayein ya kho jayein;
Mausam ke khushgawaar hone tak..
Ye jo khayal musalsal hai jeene ka;
Ye ishq hai ya hai malaal hone tak..
Milegi dhoop jab to barisho.N ki yaado.N me;
Wo Roya karenge baad-e-bahaar hone tak..
Zindagi ek nuqta to nahi hai shayad;
Jiyein kyu nuqta ba nuqta paar hone tak..
I
Badi misaal hai ke khwahishein thi jitni bhi;
Zinda rahi.n wo bus nihaal hone tak..
Ye or baat hai ke usko bhi paa ke kho diya tumne;
Roya karte the jiska visaal hone tak..
Khayal ye bhi tha k ab jo humko haasil hai;
Rahega wo bhi beshumaar hone tak..
Ye rivaaj hai musalsal hi pesh aayega;
Thak na jana "Meesam" masmaar hone tak..
Nuqta= point, nihaal= content, visaal= union, masmaar= destroy.
-