Waqt thahar gya hai tujh pe aake,
Tu aj bhi pahli mulaqaat si lagti hai-
Wo kadi dhoop me tera, milne baam pe ana,
Baarish tu hogi roomani, mujhe dhoop achhchi lagi.-
Zindagi ki bhi apni uljhanei'n hai'n,
Woh bhi har roz ik shaam talaashti hai.-
Woh murjhaaye phoolo'n ki qurbat ka asar ho shaayad,
Ik shakhs bikhraa saa, khud saa hi ishq talaashta hai.
-
Tum mere baad bhi kahaaniyaa'n likhnaa,
Hansne ki, muskuraane ki, roothne ki, manaane ki,
Zindagi ki kahaaniyaa'n likhnaa, hamaari kahaaniyaa'n.
Mujhe tumhe padhna achcha lagta hai,
To bolo likhoge naa?
Wo pahli mulaqaat,
Chori si hui har baat,
Woh bichad jaane ka darr ki kya hoga,
Woh dua pe yaqee'n ki tu mera hoga,
Phir tera abad ke liye mera humsafar hona,
Sab likhoge naa?
Tere saath guzri har saans muhabbat hai,
Ik khoobsurat safar, ik khoobsurat hamsafar,
Khwaab si rangat liye, kuch adhoori, kuch bikhri si,
Khazaa'n aur bahaar si apni kahaaniyaa'n,
Tum likhoge naa?
Ab ki jaane pe mera lautnaa mumkin nahi,
Ajal ki dastak hai ki saansei'n ab aur nahi,
Magar tum mayoos mat hona,
Humne zindagi jee hai aur kya jee hai!!
Tum likhte rahnaa,
Muhabbat ki kahaaniyaa'n, zindagi ki kahaaniyaa'n, hamaari kahaaniyaa'n,
Tum likhte rahnaa!!!
-
Har taraf nishaa'n tha yahaan zindagi guzri hai,
Ik shaks umr ke saath khaali makaa'n rah gyaa.-
Yeh nafrato'n ki nasal hai,
Muhabbat ke qisso'n se chaunk jaati hai.-
Ab muhabbat me tere baad ki kahaani nahi hogi,
Yaa to us shaam pe ruk jaaunga, yaa phir raat me dhal jaaunga.-