Mukhaatib-E-Zaalim Hai Hum Batana Chahte Hai
La Ilaha Walo Se Wo Shirk Karana Chahte Hai
Raaho Pe Gher Kar Naare Lagwana Chahte Hai
Khaak-e-Khalid Farooq-o-Haider Hai Hum Ae Zaalimo Sunlo
Hum Gulam Unke Jo Kaiser-o-Kisra Giraate Hai
Hum Hussaini Hai Shaheed Hokar Ghazi Ban Jaate Hai
Tarikh Se Bekhabar Na Humko Kayar Tasleem Karna
Salaf Aur Buzurg Ke Nalain Jo Baatil Ko Mitaate Hai
Na Lena Galat Fahaim Apne Maqsaid Me Iska
Abbas Ke Bazu Hai Jo Baatil Mitaate Hai-
Chistiyya, Qadriyya, and Barelvi Order
🔼Shahi Gharaana
🔼Bibliophile🔼Reserve... read more
Deen-e-Illahi Ki Inteha Hai Ishq-e-Wali
Hum Koi Mushrik Kaafir-o-Biddati Nahi-
Ye Biddat Nahi Ye Ishq Hai Ye Ishq Ki Ibteda Hai,
Mohabbat Karne Do Hume Nabi (s.a.w)
Se Yahi Humaari Wafa Hai,
Kal Roze Mehsar Ashq Na Bahaye Kahi Koi,
Jab Nabi (s.a.w) Humaare Puche
Milad Manane Wale Kaha Hai-
Falak Bhi Keh Raha Hai Sibtain Se Islam Par Ehsaan Hai Karbala,
Deen-e-Illahi Ki Saans Hai Bareilly Aur Jaan Hai Karbala...
-
Dil Ki Hai Dhadkan Ali (a.s) Har Samt Nazara Haider (a.s) Ka Hai
Khairat Hai Jannat Unka Kausar Bhi Us Dar Ka Hai
Ishq-e-Ali Hai Sifarish Do Jahan Isliye Hume Sanat Aqal Na Hai
Nigaahe-e-Ali (a.s) Ke Karam Se Uljan Faqat Sa Hai-
Kaabe Me Hai Aamad Ye Shaan-e-Ali (a.s) Hai,
Momineen Lagate Hai Naara Aapka Ye Pehchan-e-Ali (a.s) Hai,
Babul Ilm Me Hai Adad Aapka Ye Naam-e-Ali (a.s) Hai,
Wali Bhi Hai Taalib-e-Ilm Jin Shehzado Ke Wo Jaan-e-Ali (a.s) Hai.
-
Panjtan Pak (a.s) Ke Sadqe Kaynaat Waale Pal Rahe Hai,
Masoomeen (a.s) Ke Dar Se Sab ke Ghar Chal Rahe Hai.-
Ayat-e-Quran Hai Tera Parda,
Chalta Phirta Islam Hai Tera Parda,
Bagheecho Ki Behayai Chupane Ka Ise Dhaal Na Banao,
Humaari Maasi Zainab (s.a) Ke Sar Ka Taj Hai Ye Parda.-
Nasheehat-e-Panjtan (a.s) Hai Karke Wo 14 Kabeera Hum Apni Zindagi Ko Kharab Nahi Karte Hai,
Buzurgaane Deen Ke Ghulam Hai Hum Isiliye Yazeediyat Me Apni Jawaani Barbaad Nahi Karte Hai
-
Dil Hussain Hai, Chah Hussain Hai,
Nazar Pade Jis Samt, Us Jagah Hussain Hai,
Ishq Hussain Hai, Jaan Hussain Hai,
Islam Ki Inteha Hussain Hai,
Sabr Hussain Hai, Wafa Hussain Hai,
Deen Ki Ibteda Hussain Hai,
Dhadkan Hussain Hai, Jahan Hussain Hai,
Deen-e-Kaynaat Ki Wafa Hussain Hai,
Badshah Hussain Hai, Shaan Hussain Hai,
Ranj-o-Gam Se Nijaat Ki Dua Hussain Hai,
Hussaini Shehzaade Hai Fikr Hume Aati Nahi,
Kyuki Haq Hussain Hai, Ya Hussain Hai-