Noor se bharpoor ek roshan saya hai
Mano jaise chandni usme khud samaya hai,
Dekh khuda ke azim takhleeq ko
Tarif me juban pe sirf Mashaallah aaya hai-
Seeking magic in the mundane &... read more
Sochta hoon phir se tumhe likhne ki shuruwaat karun
Jo baat kisi se nahi kahi, wo tumhe kahne ki saugat karun
Teri narazgi agar khatam hui mujhse to batana zara
Ye jo nedamat wali zindagi ji rha hoon, kaise isse khud ko nijaat karun-
Suraj se mera koyi wasta nhi
Ye jugnoo hi hamara hai
Din ke ujale se dar lagta hai ab mujhe
Ye raat ka andhera hi apna ashiyana hai-
Kisi ke dil pe kya gujarti hai,
Bebak bol dena wala wo anjaan kya jane
Mohabbat kitni khubsurat hai
Wo naadan kya jane
Hawa ke sath uda le gya us parindey ka ghar
Kitni mehnat se bna tha ye ghonsla
wo tufaan kya jane-
Safar bahoot lamba hai, humsafar mera koyi nhi
Sath chalti is matlabi karwaan me, apna mera koyi nhii
Yun to meri zindagi me gamgussaron ki kami nhi hai
Par bant sakoon jise apna dard, wo humdard mera koyi nhi-
Kitna haseen hoga wo lamha, wo mulaqaat
Wo dhalti sham, wo dubta aftaab
Sath baith dariya kinare,
Dekhun lahron ka uthna, wo pani ka bhna
Dariya ke ek chor se lal asmaan ka milna
Mere kandhe pe tera sar
Tham baithun tera hath karoon tujhse hazaro baat
Doob teri aankhon me, guzar doon wahin wo raat
Kitna haseen hoga wo lamha, wo mulaqaat-
Jaroori nhi ki har kisi ka koyi sahara ho
Jaroor nhi ki jise hum chahe wo hamara ho
Na jane kitani kashtiyan doob jati hai yahan
Jaroori nhi ki har kashti ka koyi kinara ho-
Mile mohlat to dekhun Jadoo barish ki raton ka
Wo pani ki awazein wo medhak ka tartaraana,
Sath milta use joognu ke timtimane ka
Mile mohlat agar to dekhun jadoo sard raton ka
Wo tik tik karti gadhi ke bich mahsoos karun
Khidki se andar aati thand thand hawaon ka
Mile mohlat agar to qaid kar sakun lamha chandni raton ka
Wo darya kinare baith didar karun lahro se milti chand ke us nazaron ka
Mile mohlat kabhi to dekhun jadoon ratoon ka..
-
Ishq aur hawas me farq maloom nhi,
Aur seher ranjho se bhra pada hai.-
Kaash main tumhe bta pata.....
Wo koyii aur nhi ...
Jinhe main ne apni lafzon me utara hai,
Jinke khyaalon ko najam ka sakal bnaya hai..
Kaash main tumhe bta pata...
Wo koyi aur nhii...
Jinki wajah se mere dil ko sukoon mil patahai,
Jinke wajah se main muskura pata hoon
Kash main tumhe bta pata...
Wo koyi aur nhii
Jinka sawal sab krte hain mujhse..
Kaash main ye bta pata
Wo koyi aur nhii...
Wo tum hi ho
Kaash main bta pata
-